Kya muzda-e-jaan bakhsh sunaye ga qalam aaj
Kaghaz pe jo so naaz se rakhta hai qadam aaj
Aamad hai yeh kis badshah-e-arsh-e-makan ki
Aate hain falak se jo haseenan-e-Iram aaj
Kis gul ki hai aamad ke khizan deedah-e-chaman mein
Aata hai nazar naqsha-e-gulzar-e-Iram aaj
Nazrana mein sar dene ko hazir hai zamana
Us bazm mein kis shah ke aate hain qadam aaj
Badal se jo rehmat ke sar-e-sham ghere hain
Barse ga magar subah ko baran-e-karam aaj
Kis chand ki phaili hai ziya kya yeh saman hai
Har baam pe hai jalwa numa noor-e-qadam aaj
Ghulta nahin kis jaan-e-masiha ki hai aamad
But bolte hain qalib-e-be-jaan mein hai dam aaj
But khanon mein woh qahr ka kehram para hai
Mil mil ke gale rote hain kuffar o sanam aaj
Kaaba ka hai naghma ke hua los se main paak
But nikle ke aaye mere maalik ke qadam aaj
Tasleem mein sar wajd mein dil muntazir aankhein
Kis phool ke mushtaq hain murghan-e-haram aaj
e kufra jhuka sar woh shah-e-but shikan aaya
Garden hai teri dam mein teh-e-tegh-e-do-dam aaj
Kuch r'ub-e-shehenshah hai kuch walwala-e-shauq
Hai tarfa kashakash mein dil-e-bait o haram aaj
Purnoor jo zulmat kada-e-dahr hua hai
Roshan hai ke aata hai woh mehtab-e-karam aaj
Zahir hai ke sultan-e-do aalam ki hai aamad
Kaaba pe hua nasb jo yeh sabz alam aaj
Gar aalam-e-hasti mein woh meh jalwa fagan hai
To saya ke jalwa pe fida adam aaj
Han mufliso khush ho ke mila daman-e-daulat
Tar daman o muzda woh utha abr-e-karam aaj
Ta'zeem ko uthe hain malaik tum bhi khare ho
Peda hue sultan-e-arab shah-e-ajam aaj
Kal naar-e-jahannam se husn-e-amn o aman ho
Is maalik-e-firdous pe sadqe hon jo hum aaj
Madina munawwara ka sab se meetha kunwan
Hazrat-e-Anas Razi Allah Ta'ala Anhu ke ghar mein ek kunwan tha. Aap Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wasallam ne apna lu'ab-e-dahan is mein daal diya. Is ka pani aisa shireen ho gaya ke tamam Madina munawwara mein is se barh kar meetha koi kunwan na tha.
(Al-Khasa'is-ul-Kubra lis-Suyuti, 105/1, multaqatan, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiyyah Beirut)
Nisar-e-daulat-e-bedar-o-tali-e-azwaj
Na dekhi chashm-e-Zulekha ne khwab-e-husn-e-maleeh
Tajalliyon ne namak bhar diya hai aankhon mein
Malahat aap hui hai hijab-e-husn-e-maleeh
Namak ka khasa hai apne kaif par lana
Har ek shay na ho kyun bahra-yab-e-husn-e-maleeh
Asal ho aab banein kooz-haye-qand-e-hubab
Jo bahr-e-shor mein ho aks-e-aab-e-husn-e-maleeh
Dil-e-sabahat-e-Yusuf mein soz-e-ishq-e-hazoor
Nabat-o-qand hue hain kabab-e-husn-e-maleeh
Sabeeh hoon ke sabahat jameel hoon ke jamal
Garaz sabhi hain namak-khwar-e-bab-e-husn-e-maleeh
Khule jab aankh nazar aaye woh malahat-e-paak
Bayaz-e-subh ho ya-rab kitab-e-husn-e-maleeh
Hayat-e-be-maza-o-bakht-e-teera me-daram
Batab ae mah-e-gardoon janab-e-husn-e-maleeh
Husn ki pyas bujha kar naseeb chamka de
Tere nisar mein ae aab-o-tab-e-husn-e-maleeh