Kyun hain shaad dewanay! Aaj Ghusl-e-Kaaba hai
Jhoomtay hain mastanay aaj Ghusl-e-Kaaba hai
Ghusl ho raha hai par hain tawaf mein mashghool
Gard-e-shama parwanay aaj Ghusl-e-Kaaba hai
"Chal Madina" walon par Saqiya karam kar do
Jhalkatay paimanay aaj Ghusl-e-Kaaba hai
Apnay Rabb ki ulfat mein pesh kijiye mil kar
Aansuon ke nazranay aaj Ghusl-e-Kaaba hai
Jaan-e-Rehmat aajao hon gay khair se aabad
Sab dilon ke veeranay aaj Ghusl-e-Kaaba hai
Jaan ko musarrat hai rooh ko bhi hai farhat
Is khushi ko dil jaanay aaj Ghusl-e-Kaaba hai
Lutf jo mila mujh ko kya bataon mein Attar
Is ko mera dil jaanay aaj Ghusl-e-Kaaba hai