Maah-e-Tayyaba, Nayyar-e-Batha, Sallallahu Alaika wa Sallam
Tere dam se aalam chamka, Sallallahu Alaika wa Sallam
Tu hai mazhar-e-Rabb-e-Ajmal, zill hain tere sare mursal
Kaun hai hum-sar tera shaha, Sallallahu Alaika wa Sallam
Tum ho pyare asl-e-hamari, sara jahan hai far-e-tumhari
Tum sab ki mahiyat goya, Sallallahu Alaika wa Sallam
Tum ho qaim haq ke jalwe, ho noor-e-mutlaq ke
Tum ho hujjat rabb-e-a'ada, Sallallahu Alaika wa Sallam
Tu hai naib Rabb-e-Akbar, pyare har dam tere dar par
Ahl-e-hajat ka hai mela, Sallallahu Alaika wa Sallam
Haq ne banaya aisa tu-nagar, Akbar-o-Awsat-o-Asghar-o-Sarwar
Tere dar par hazir jumla, Sallallahu Alaika wa Sallam
Har shay mein hai tera jalwa tujhse roshan deen-o-dunya
Baanta tu ne noor ka baara SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Emaan teri azmat-o-ulfat aur tasdeeq-o-jazm-e-nisbat
Momin woh jis ne paaya SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Beshabah hai zeen-e-ta'at-e-haq yeh ke hai ain-e-ibadat
Haq ke pyaare tasawwur tera SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Teri ziya se aalam chamka SUBHANALLAH MA SHA ALLAH
Jalwa-e-haq hai jalwa tera SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Noor-e-mujassam tere dam se noori sadqay roz hain paatay
Meher-o-maah-o-anjum aara SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Tu chaahay woh jo Rab chaahay, Rab chaahay woh jo tu chaahay
Chaaha tera Rab ka chaaha SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Jitnay salateen pehlay aaye un ke ho gaye khotay
Jaari rahe ga sikka tera SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Taj-e-sultan ban kar chamka tere naqsh-e-pa ka jalwa
Tu hai noor-e-zaat-e-Maula SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Tere ghar ka bacha bacha saara gharana Syed wala
Noori moorat noor ka putla SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Ki hai abr-e-gham ne charhai maah-e-Taiba teri duhai
Badr-e-duja ho jalwa farma SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Gham ki kaali ghataein chaein ranj-o-alam ki balaein chaein
Shams-e-zuha ho jalwa farma SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Khaar-e-gham kaisa chubh-ta hai kaisi khalish hai dil dukhta hai
Pyaaray dil se nikalo na SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Rafi tum ho daafi tum ho naafi tum ho shafi tum ho
Ranj-o-gham ka phir kya thaka SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Main hoon bebas tu hi bas hai main hoon bekas tu hi kas hai
Kis le kar aur behr-e-madad aa SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Sar par baadal kaalay kaalay dood isyaan ke hain chaalay
Dam ghutta hai mere Maula SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Main hoon tanha ban hai sona duzd-e-imaan sar par pahuncha
Meri khabar le mere Maula SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Haal hamara jaisa zaboon hai aur woh kaisa aur woh kyun hai
Sab hai tum par roshan shaha SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Har zarra par teri nazar hai har qatra ki tujh ko khabar hai
Ho ilm-e-ladunni ke tum daana SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Aib se tum ko paak kiya hai ghaib ka tum ko ilm diya hai
Aur khud Haq bhi tum se chupa kya SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Tu mere imaan ko jala de jaan-e-Masiha dil ko jala de
Murda hai dil mera aa SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Had se barh gaye isyaan mere to dho de aab-e-rehmat se
Bahr-e-rehmat josh pe aa ja SALLALLAHU ALAIKA WASALLAM
Kaisi zabanen sookh gayi hain pyaas se bahar aayi hui hain
Abre karam de de ek cheenta sallallahu alayhi wa sallam
Mahe mahshar sare sarware phonke de hum ko yaksar
Mehre kar gesu ka saya sallallahu alayhi wa sallam
Munh tak mere paseena pahuncha dooba dooba dooba dooba
Daman mein le lijiye aaqa sallallahu alayhi wa sallam
Adam se ta hazrate Isa sab ki khidmat mein hua aaya
Nafsi sab ne hi farmaya sallallahu alayhi wa sallam
Mere aaqa mere maula aap se sun kar inni laha
Dam mein hai dam mere aaya sallallahu alayhi wa sallam
Roshan ho gaya is se sarware peshe dawari shafei mahshar
Mere maula ho tanha sallallahu alayhi wa sallam
Waqte wiladat tum nahi bhoole waqte rehlat yaad hi rakhe
Apne bande tum ne shaha sallallahu alayhi wa sallam
Aao aao meri khabar ko waron tum par qalb o jigar ko
Main bhi hoon tumhara banda sallallahu alayhi wa sallam
Meri aankhon mere sar par mere dil par mere jigar par
Paye aqdas rakh do shaha sallallahu alayhi wa sallam
Tere naqshe qadam ne sarwar phir mom banaye yaksar
Mom bana dil sangin mera sallallahu alayhi wa sallam
Aap ka jalwa har juz o kul mein aap ke rang o bu har gul mein
Aap ki bu se alam mehka sallallahu alayhi wa sallam
Kaun gaya hai arshe ala tak kis ki rasai zate khuda tak
Tum ne paya aala paya sallallahu alayhi wa sallam
Tum ho awwal tum ho akhir tum ho batin tum ho zahir
Haq ne bakhshe hain ye asma sallallahu alayhi wa sallam
Baraka sharafa majjada karama nawwara qalbaka asra allama
Rab ne tum ko kya bakhsha sallallahu alayhi wa sallam
Sahebe daulat tum hi to ho qasime nemat tum hi to ho
Tum ho sare jag ke data sallallahu alayhi wa sallam
Antar rafeu antar nafeu antad dafeu antash shafe
Ishfa indar rabbil ala sallallahu alayhi wa sallam
Antal awwalu antal akhiru antal batinu antaz zahir
Anta samiyyul mawla ta'ala sallallahu alayhi wa sallam
Man li nasiru mali wala ghairaka mali fanzur hali
Wasma qali ya mawlaya sallallahu alayhi wa sallam
Antal qasimu rabbuka mu'ti tum hi ne sab ko nemat di
De do mujh ko mera hissa sallallahu alayhi wa sallam
Anta shafei anta wakeeli anta habibi anta tabibi
Anta kafeeli ya mawlana sallallahu alayhi wa sallam
Hazire dar hai noori muztar aap ka ye moroosi shanagar
Ibne raza hai khwahan raza sallallahu alayhi wa sallam