Maang lo jo kuch tumhein darkar hai mere Aqa ka sakhi darbar hai
Hazir-e-darbar hun mere tabib dard-e-isyan ki dawa darkar hai
Kasrat-e-khanda se dil murda huwa tujh se faryad aye Shah-e-Abrar hai
Qahqaha tum mat lagao bhaiyo! gar lihaz-e-girya-e-Sarkar hai
Zikr-e-haq mein ko bas mashghool rakh rahat-e-dil gar tujhe darkar hai
Deejiye "Quf-e-Madina" yeh ghulam aah! bad-atwar-o-badguftar hai
Umr ghat-ti ja rahi hai aah! nafs! garm-e-isyan ka magar bazar hai
Dees ka gor-e-ghariban aye aah! maut Taiba ki mujhe darkar hai
Laj rakhna hashr mein badkar ki tera banda hai go bad-atwar hai