(Muballigh-e-Dawat-e-Islami Maula Bakhsh Attari sallamahul Bari ki shadi ke pur-musarrat mauqe par unhi ki farmaish par 12 ashaar par mushtamil duaon bhara sehra likha gaya tha is mein hasb-e-zaroorat tarmeem ki gayi hai)
Aaj Maula Bakhsh fazl-e-Rab se hai dulha bana
Khushnuma phoolon ka us ke sar pe hai sehra saja
Is ki shadi khana abadi ho Rab-e-Mustafa
Az tufail-e-Ghaus-o-Khwaja az paye Ahmad Raza
Un ki zauja ya Khuda karti rahe parda sada
Az tufail-e-Hazrat-e-Usman-e-Ghani ba-haya
Tu sada rakhna salamat un ka joda Kirdagar
Un ko jhagron se bachana az tufail-e-chaar yaar
Un ko khushiyan do jahan mein tu ata kar Kibriya
Kuch na chaye un pe gham ki ranj ki kali ghata
Tu nahoosat se unhein fashion ki aye Maula bacha
Sunnaton par yeh amal karte rahe Ya Rab sada
Nek aulad un ko Maula aafiyat se ho ata
Wasita Ya Rab Madine ki mubarak khaak ka
Ya Ilahi jab talak donon yahan jeete rahein
Sunnaton ki khoob khidmat yeh sada karte rahein
Is tarah mehka kare yeh ghar ka ghar pyare Khuda
Phool mehka karte hain jaise Madine ke sada
Ya Ilahi! de saadat un ko Hajj ki baar baar
Baar baar un ko dikha meethe Muhammad ka dayar
Ho Baqi-e-Paak mein donon ko madfan bhi ata
Sabz gumbad ka tujhe deta hoon Maula wasita
Yeh miyan biwi rahein Jannat mein yakja aye Khuda
Ya Ilahi tujh se hai Attar aajiz ki dua