Bayan ho kis zaban se martaba Siddique-e-Akbar ka
Hai yaar-e-ghaar-e-mehboob-e-Khuda Siddique-e-Akbar ka
Ilahi reham farma khadim-e-Siddique-e-Akbar hun
Teri rehmat ke sadqay wasta Siddique-e-Akbar ka
Rusul aur ambiya ke baad jo afzal ho aalam se
Yeh aalam mein hai kis ka martaba Siddique-e-Akbar ka
Gada Siddique-e-Akbar ka Khuda se fazl paata hai
Khuda ke fazl se mein hun gada Siddique-e-Akbar ka
Nabi ka aur Khuda ka madh-go Siddique-e-Akbar hai
Nabi Siddique-e-Akbar ka Khuda Siddique-e-Akbar ka
Ziya mein mehr-e-aalam taab ka yun naam kab hota
Na hota naam agar wajah-e-ziya Siddique-e-Akbar ka