Allah se kya pyaar hai Usman-e-Ghani ka
Mahboob-e-Khuda yaar hai Usman-e-Ghani ka
Rangeen woh rukhsar hai Usman-e-Ghani ka
Bulbul gul-e-gulzar hai Usman-e-Ghani ka
Garmi pe yeh bazaar hai Usman-e-Ghani ka
Allah khareedar hai Usman-e-Ghani ka
Kya la'al-e-shakar baar hai Usman-e-Ghani ka
Qand-e-ek namak khwar hai Usman-e-Ghani ka
Sarkar ata pash hai Usman-e-Ghani ki
Darbar durar baar hai Usman-e-Ghani ka
Dil-e-sookhta himmat jigar aab hotay hain thanday
Woh saya-e-deewar hai Usman-e-Ghani ka
Jo dil ko ziya de jo muqaddar ko jala de
Woh jalwa-e-deedar hai Usman-e-Ghani ka
Jis aaina mein noor-e-ilahi nazar aaye
Woh aaina rukhsar hai Usman-e-Ghani ka
Sarkar se payein gay muradon pe muradein
Darbar yeh darbar hai Usman-e-Ghani ka
Azad giraftar-e-balaye do jahan hai
Azad giraftar hai Usman-e-Ghani ka
Beemar hai jis ko nahi aazar-e-mohabbat
Achha hai jo beemar hai Usman-e-Ghani ka
Allah Ghani had nahi inaam-o-ata ki
Woh faiz pe darbar hai Usman-e-Ghani ka
Ruk jayein meray kaam Hasan ho nahi sakta
Faizan-e-madadgar hai Usman-e-Ghani ka
Sabaqat rahmati ala ghadabi jab se tu ne suna diya ya rab
Asra hum gunahgaron ka aur mazboot ho gaya ya rab
Hai ana inda zanni abdi bi mere har dard ki dawa ya rab
Tu ne mere zaleel hathon mein daman-e-mustafa diya ya rab
Tu ne di mujh ko naimat-e-islam phir jamaat mein le liya ya rab
Kar diya tu ne qadri mujh ko teri qudrat ke main fida ya rab
Daulatain aisi naimtain itni be-garz tu ne keen ata ya rab
De ke lete nahi kareem kabhi jo diya jis ko de diya ya rab
Tu kareem aur kareem bhi aisa ke nahi jis ka doosra ya rab
Zan nahi balkay hai yaqeen mujhe woh bhi tera diya hua ya rab
Ho ga duniya mein qabr o mahshar mein mujh se acha muamla ya rab
Is nikmay se kaam le aisay yeh nikma ho kaam ka ya rab
Mujhe aisay amal ki de taufiq ke ho raazi teri raza ya rab
Jis ne apnay liye burai ki hai yeh nadan woh bura ya rab
Har bhalay ki bhalai ka sadqa is buray ko bhi bhala ya rab
Main ne banti hui bigari baat baat bigri hui bana ya rab
Main ne subhana rabbiyal ala khak par rakh ke sar kaha ya rab
Sadqa is di hui bulandi ka pastiyon se mujhe bacha ya rab
Bonay walay jo boain woh kaatain yeh huwa to main mar mita ya rab
Ah jo bo chuka hoon waqt-e-dirau ho ga hasrat ka samna ya rab
Sadqa mah-e-rabi-ul-awwal ka gehun is kheet se uga ya rab
Pak hai durd-o-dard se jo maye jaam is ka mujhe pila ya rab
Kar ke gustarda khwan-e-ud-uni tu ne bandon ko di sala ya rab
Astaan par teray tera mangta sun kar aaya hai yeh sada ya rab
Naimat-e-istajib se paaye bheek hath phaila huwa mera ya rab
Tujh se woh mangoon main jo behtar ho mudda'i ho na mudda'a ya rab
Mujhe dono jahan ke gham se bacha shad rakh shad da'iman ya rab
Mujh par aur meray dono bhaiyon par saya ho teray fazl ka ya rab