Maqbool dua karna manzoor sana karna
Midhat ka sila dena maqbool sana karna
Dil zikr-e-shareef un ka har subah-o-masa karna
Din raat japa karna har aan rata karna
Seena pe qadam rakhna dil shad mera karna
Dard-e-dil-e-muztar ki sarkar dawa karna
Sansar bhikari hai jag data diya karna
Hai kaam tumhara hi sarkar ata karna
Kab aap ke koocha mein mangta ko sada karna
Khud bheek liye tum ko mangta ko nida karna
Din raat hai Taiba mein daulat ka luta karna
Mangta ki dua karna mangta ka bhala karna
Ham ain jafa hi hain hum ko to jafa karna
Aur tum to karam hum par ae jaan-e-wafa karna
Din raat khataon par hum ko hai khata karna
Aur tum ko ataon par har dam hai ata karna
Ham apni khataon par naam bhi nahin hote
Aur un ko ataon par har baar ata karna
Ham aap hi apne par karte hain sitam had bhar
Aur un ko karam hum par hai had se sawa karna
Hai aath pahar jaari langar mere data ka
Har aan hai sarkari baade ka luta karna
Mehroom nahin jis se makhlooq mein koi bhi
Woh faiz unhein dena woh jood-o-sakha karna
Hai aam karam un ka apne hon ke hon aada
Aata hi nahin goya sarkar ko "la" karna
Mehroom gaya koi mayoos phira koi
Dekha na suna un ka inkar-o-abi karna
Mayoos gaya koi mehroom phira koi
Duniya ke salateen ko kab aaya ata karna
Dukh dard kahein kis se ye kaam to hain un ke
Fariyaad suna karna aur daad diya karna
Wallah wo sun len ge aur dil ki dawa den ge
Be-kaar na jaye ga fariyaad-o-bukaa karna
A'ada ko khuda wala jab tum ne bana dala
Dushwaar hai tum par kya mujh bad ka bhala karna
Sookhe hai meri kheti pad jaye bharan teri
Ae abr-e-karam itna to bahar-e-khuda karna
Jo sokhta hezam ko chaho to hara kar do
Mujh sokhta jaan ka bhi dil pyare hara karna
Taiba mein bula lena aur apna bana lena
Qaid-e-gham-e-furqat ke sarkar riha karna
Hum arz kiye jayen sarkar sune jayen
Kya door karam se hai din aisa shaha karna
Sang-e-dar-e-sarwar par rakha ho ye sar
Ae kaash ho qismat mein is tarah qaza karna
Khul jayen chaman dil ke aur chhaten miten dil ke
Taiba se saba aa ke imdad zara karna
Har daagh mita dena aur dil ko shifa dena
Aaina bana dena aisi to jila karna
Sarwar hai wahi sarwar ae sarwar har sarwar
Hai aap ke qadmon par sar jis ko fida karna
Shohra lab-e-isa ka jis baat mein hai maula
Tum jaan-e-masiha ho thokar se ada karna
To jaan-e-masiha se halat meri ja kehna
Itna to karam mujh par ae baad-e-saba karna
Parda mein jo rehte ho parda hai chale aao
Aankhon mein basa karna tum dil mein raha karna
Uff kaisi qayamat hai ye roz-e-qayamat bhi
Suraj hai wahin qaim bhoola hai dhala karna
Lillah hamen maula daman ke tale le lo
Ham kaisi bala mein hain han radd-e-bala karna
Ye zill-e-karamat hai hum saya-e-rehmat hai
Ye saya-e-ra'afat hai daman zara wa karna
Ae zill-e-khuda saya hai aaj kahan paya
Ham saye ko aaye hain tum saya zara karna
Lab-e-tishna hai go saqi tishna teri ru-e-yat ka
Ru-e-yat jo na ho teri to jaam ka kya karna
Hoon tishna magar saqi deedar ke sharbat ka
Ek jaam mujhe pyare lillah ata karna
Tishna mein nahi us ka tishna hoon ru-e-yat ka
Saqi mujhe kausar ke saghar ko hai kya karna
Hai pyas se haal abtar nikli hai zaban bahar
Ek jaam mujhe sarwar ko ata karna
Jo dil se tujhe chahen jo aib tere dhanpen
Ae nafs tujhe in se kambakht daga karna
Woh tera bura chahein mumkin hi nahi un se
A'da ki bhalayi ki jin ko hai dua karna
Duniya bane ya bigre duniya rahe ya jaye
Tu deen bana pyare duniya ka hai kya karna
Khaya piya aur pehna achon se raha achha
Kuch deen ka bhi karle duniya ka hai kya karna
Qismat mein gham-e-duniya jannat ka qabala ho
Taqdeer mein likha ho jannat ka maza karna
Duniya mein jo rote hain 'uqba mein woh hanste hain
Duniya mein jo hanste hain un ko thud'ha karna
Musa hue ghash jis se aur Toor jala jis se
Woh jalwa mere dil par ae noor-e-Khuda karna
Barbad na ho mitti is khaak ke putle ki
Allah mujhe un ki khaak-e-kaf-e-pa karna
Kyun naqsh-e-kaf-e-pa ko dil se na lagaye woh
Hai aaina dil ki noori ko jala karna