Marhaba sad marhaba! phir aamad-e-Ramzan hai
Khil uthay murjhaye dil taza hua iman hai
Ya Khuda hum aasiyon par yeh bara ehsan hai
Zindagi mein phir ata hum ko kiya Ramzan hai
Tujh pe sadqay jaaun Ramzan! tu azeem-ush-shan hai
Tujh mein nazil Haq Ta'ala ne kiya Quran hai
Abr-e-rehmat chha gaya hai aur samaan hai noor noor
Fazl-e-Rabb se maghfirat ka ho gaya saman hai
Har ghari rehmat bhari hai har taraf hain barkatein
Maah-e-Ramzan rehmaton aur barkaton ki kaan hai
A gaya Ramzan ibadat par kamar ab baandh lo
Faiz le lo jald yeh din tum se mehmaan hai
Aasiyon ki maghfirat ka le kar aaya hai payam
Jhoom jao mujrimo! Ramzan meh-e-ghufran hai
Bhaiyo behno! Karo sab nekiyon par nekiyan
Par gaye dozakh pe taalay qaid mein shaitan hai
Bhaiyo behno! Gunahon se sabhi tauba karo
Khuld ke dar khul gaye hain dakhila aasaan hai
Kam hua zor-e-gunah aur masjidain aabaad hain
Maah-e-Ramzan-ul-Mubarak ka yeh sab faizan hai
Roza daro! Jhoom jao kyunke deedar-e-Khuda
Khuld mein hoga tumhain yeh wa'da-e-Rehman hai
Do jahan ki na'matein milti hain roza daar ko
Jo nahi rakhta hai roza woh bara nadaan hai
Ya Ilahi! Tu madinay mein kabhi Ramzan dikha
Muddaton se dil mein yeh Attar ke armaan hai