Hai rutba is liye konain mein ismat ka iffat ka
Sharaf hasil hai un ko daman-e-Zehra se nisbat ka
Jo jana khuld mein ho paye Zehra se lipat jao
Jise kehte hain jannat malak hai khatoon-e-jannat ka
Nabi ke dil ki rahat aur Ali ke ghar ki zeenat hain
Bayan kis se ho un ki pak teenat pak talat ka
Inhi ke mah paray do jahan ke laaj wale hain
Yeh hi hain majma-e-bahrain sar-e-chashma-e-hidayat ka
Rasool-e-Allah ki jeeti jagti tasveer ko dekha
Kya nazara jin aankhon ne tafseer-e-nabuwat ka
Batool-o-Fatima Zehra laqab is waaste paya
Ke duniya mein rahein aur dein pata jannat ki nigat ka
Nabi ki ladli, biwi wali ki, maa shaheedon ki
Yahan jalwa nabuwat ka wilayat ka shahadat ka
Ta'ala Allah us sa'dain ke joray ka kya kehna
Ke rehmat ki dulhan Zehra, Ali dulha wilayat ka
Woh itrat jo ke ummat ke liye Quran-e-Sani hai
Nabi ka hai chaman yani is pak manbat ka
Woh chadar jis ka anchal chand suraj ne nahi dekha
Banegi hashr mein parda gunahgaran-e-ummat ka
Agar Salik bhi ya Rab dawa-e-jannat kare haq hai
Jo woh Zehra ki hai yeh bhi toh hai khatoon-e-jannat ka