Kharab-e-haal kiya dil ko pur-malal kiya
Tumhare gooche se rukhsat kiya nihal kiya
Na roo-e-gul abhi dekha na boo-e-gul soonghi
Qaza ne la ke qafas mein shikasta-baal kiya
Woh dil ke khoon shuda armaan the jis mein mil dala
Fughan ke gor-e-shaheedan ko paimal kiya
Yeh raye kya thi wahan se palatne ki ae nafs
Sitam-gar ulti chhuri se hamein halal kiya
Yeh kab ki mujh se adawat thi tujh ko ae zalim
Chhuda ke sang-e-dar-e-pak sar-o-baal kiya
Chaman se phenk diya aashiyaana-e-bulbul
Ujaada khana-e-be-kas bada kamaal kiya
Tera sitam-zada aankhon ne kya bigada tha
Yeh kya samayi ke door un se woh jamaal kiya
Huzoor un ke khayal-e-watan mitana tha
Hum aap mit gaye achha faragh-baal kiya
Na ghar ka rakha na us dar ka haye nakami
Hamari bebasi par bhi na kuch khayal kiya
Jo dil ne mar ke jalaya tha minnaton ka chiragh
Sitam ke arz-e-reh-e-sarsar-e-zawal kiya
Madina chhod ke veerana-e-hind ka chhaya
Yeh kaisa haye hawaso ne ikhtilal kiya
Tu jis ke waste chhod aaya Taiba mehboob
Bata to us sitam-ara ne kya nihal kiya
Abhi abhi to chaman mein the chhupe nagah
Yeh dard kaisa utha jis ne jee nidhal kiya
Ilahi sun le Raza jee ke Maula ne
Sagan-e-koocha mein chehra mera bahaal kiya