Marz-e-ishq ka bemaar bhi kya hota hai
Jitni karta hai dawa dard siwa hota hai
Kyun abas khauf se dil apna hua hota hai
Jab karam aap ka aasi pe shaha hota hai
Jis ka haami woh shah-e-har do sara hota hai
Qaid-o-band-e-do jahan se woh raha hota hai
Un ka irshaad hai irshaad-e-khudawand-e-jahan
Yeh wahi kehte hain jo rab ka kaha hota hai
Baadshahan-e-jahan hote hain mangta us ke
Aap ke koochay ka shaha jo gada hota hai
Palla neki ka isharay se barha dete hain
Jab karam banda nawazi pe tula hota hai
Sara alam hai raza joo-e-khudawand-e-jahan
Aur khuda aap ka joya-e-raza hota hai
Ham ne yun sham-e-risalat se lagayi hai lau
Sab ki jholi mein unhin ka toh diya hota hai
Az shaha ta bagdayan-e-jahan ik alam
Aap ke dar pe shaha arz-e-rasa hota hai
Aisi sarkar hai bharpoor jahan se lene
Roz ek mela naya dar pe laga hota hai
Donon hathon se lutate hain khazana lekin
Jitna khali karein utna hi bhara hota hai
Karda na-karda isharay mein tumhare ho jaye
Be-kya aap ke sadqe mein kya hota hai
Be-kas-o-be-bas-o-be-yaar-o-madadgar jo ho
Aap ke dar se shaha sab ka bhala hota hai
Un se dushman ki museebat nahin dekhi jaati
Dushmanon ke liye jee un ka bura hota hai
Jagmaga uthta hai dil ka har ek zarra zarra
Jab mera jaan-e-qamar jalwa-numa hota hai
Aap mehboob hain Allah ke aise mehboob
Har mohabbat aap ka mehboob khuda hota hai
Jis gali se tu guzarta hai mere jaan-e-jinan
Zarra zarra teri khushboo se basa hota hai
Arsh-e-aala se kahin bala hai rutba us ka
Aap ke qadmon se sar jis ka laga hota hai
Piyaso murda ho ke woh Saqi-e-Kausar aaye
Chain hi chain hai ab jaam-e-ata hota hai
Aastane ke gadaon ke liye rehmat hai
Aur aada pe shaha qahr-e-khuda hota hai
Kab gul-e-Taiba ki khushboo se basein ge dil-o-jaan
Dekhiye kab karam-e-baad-e-saba hota hai
Dekhiye ghuncha-e-dil apna khule ga kab tak
Dekhiye kab dil-e-pazmurda hara hota hai
Kab bahar-e-chaman-e-Taiba nazar aati hai
Dekhiye kab dil-e-pazmurda hara hota hai
Sar bulandi usey hasil hai janab-e-Rabb mein
Jo koi dar pe tere nasiya sa hota hai
Dil-e-tapan soz-e-mohabbat se ke sab mail chhute
Tapne ke baad hi to sona khara hota hai
Kab mitane se kisi ke khat-e-taqdeer mite
Ho ke rehta hai jo qismat ka likha hota hai
Mahw-e-isbaat ki haan aap ne qudrat payi
Tum jo chaho to bura aaj bhala hota hai
Tera deedar muyassar ho jise noor-e-Khuda
Usey duniya hi mein deedar-e-Khuda hota hai
Woh nahi hashr mein jo hoga shaha be-parda
Balkay jo aap ke parda mein ata hota hai
Tera jalwa nahi Allah ka jalwa hai woh
Teri soorat se Khuda jalwa-numa hota hai
Tu hai aaina-e-zaat-e-Ahadi aye pyare
Yun usi ka hai woh jalwa jo tera hota hai
Daagh-e-dil mein jo maza paya hai Noori tum ne
Aisa duniya ki kisi shai mein maza hota hai