Hamd-e-Rabb-e-Mustafa se ibtida
Ho durood-e-ummati Nabi par da'ima
Is jahan mein har taraf hain mushkilain
Har jagah hain aafatain hi aafatain
Kuch gharay gham mein to kuch bimar hain
To kayi qarzay ke zer-e-bar hain
Hain bohat kam log duniya mein sukhi
Aksar afraad is jahan mein hain dukhi
Chal diye duniya se sab shah-o-gada
Koi bhi duniya mein kab baqi raha!
Jeetay duniya Sikandar tha chala
Jab gaya duniya se khali haath tha
Lehlahatay khet honge sab fana
Khush numa baghaat ko hai kab baqa?
Tu khushi ke phool le ga kab talak?
Tu yahan zinda rahe ga kab talak?
Daulat-e-duniya ke peechay tu na ja
Akhirat mein maal ka hai kaam kiya?
Maal-e-dunya do jahan mein hai wabaal
Kaam aayega na pesh-e-Zuljalal
Rizq mein barkat ki to hai justuju
Aah! Neki ki kare kaun aarzoo!
Mat laga tu dil yahan pachtayega
Kis tarah jannat mein bhai jayega?
London-o-Paris ke sapne chhor de
Bas Madine hi se rishta jor le
Dil se dunya ki mohabbat door kar
Dil Nabi ke ishq se mamoor kar
Ashk mat dunya ke gham mein tu baha
Han Nabi ke gham mein khoob aansu baha
Ho ata Ya Rabb! Hamein soz-e-Bilal
Maal ke jhanjal se hum ko nikal
Ya Ilahi! Kar karam Attar par
Hubb-e-dunya is ke dil se door kar
Be-wafa dunya pe mat kar aitbar
Tu achanak maut ka hoga shikar
Maut aakar hi rahegi yaad rakh!
Jaan ja kar hi rahegi yaad rakh!
Gar jahan mein sau baras tu jee bhi le
Qabr mein tanha qayamat tak rahe
Jab farishta maut ka chha jayega
Phir bacha koi na tujh ko payega
Maut aayi pehalwan bhi chal diye
Khubsurat naujawan bhi chal diye
Dunya mein reh jayega ye dabdaba
Zor tera khaak mein mil jayega
Teri taqat tera fan ohda tera
Kuch na aayega kaam sarmaya tera
Qabr rozana ye karti hai pukar
Mujh mein hain keeray makoray beshumar
Yaad rakh main hoon andheri kothri
Tujh ko hogi mujh mein sun wehshat bari
Mere andar tu akela aayega
Han magar aamaal leta aayega
Narm bistar ghar pe hi reh jayenge
Tujh ko farsh-e-khaak par dafnayenge
Ghap andheri qabr mein jab jayega
Be-amal! Be-inteha ghabrayega
Kaam maal-o-zar nahin kuch aayega
Ghafil insaan yaad rakh pachtayega
Jab tere saathi tujhe chhor aayenge
Qabr mein keeray tujhe kha jayenge
Qabr mein tera kafan phat jayega
Yaad rakh nazuk badan phat jayega
Tera ik ik baal tak jhar jayega
Khubsurat jism sab sar jayega
Aah! Ubal kar aankh bhi beh jayegi
Khaal udhar kar qabr mein reh jayegi
Saanp bichhoo qabr mein gar aa gaye!
Kya karega be-amal gar chha gaye!
Gor-e-nekaan bagh hogi Khuld ka
Mujrimon ki qabr dozakh ka garha
Khilkhila kar hans raha hai be-khabar!
Qabr mein royega cheekhein maar kar
Kar le tauba Rabb ki rehmat hai bari
Qabr mein saza hogi kari
Waqt-e-aakhir Ya Khuda! Attar ko
Khair se Sarkar ka deedar ho