May-e-mehboob se sarshar karde
Owais-e-qarni ko jaisa kiya hai
Guma de apni ulfat mein kuch aisa
Na paun mein main mein jo be-baqa hai
Pila de may ke ghaflat door karde
Mujhe duniya ne ghafil kar diya hai
Ata farma de saqi jaam-e-noori
Labalab jo chahaton ko diya hai
Likhni hai mehboob-e-khuda ki
Khuda hi jin ki azmat jaanta hai
Main tere faiz se kuch keh sakun ga
Main kya hun aur mera yaara hi kya hai
Suna ae bulbul-e-baagh-e-madina
Tarana aur dil yeh chahta hai
Suna noori ghazal us ki sana mein
Sana jis ki sana-e-kibriya hai