Mit-te hain jahan bhar ke aalam Madine mein
Bigre hue bante hain sab kaam Madine mein
Aqaa ki inayat hai har gaam Madine mein
Hota nahi koi bhi nakaam Madine mein
Ae haajiyo! ro ro kar keh dena salam un se
Le jaao ghareebon ka paighaam Madine mein
Aajaao gunahgaro be-khauf chale aao
Sarkar ki rehmat to hai aam Madine mein
Woh Shafi-e-Mahshar to bulwa ke ghulamon ko
Dete hain shafa'at ka inaam Madine mein
Cheiro na tabeebo tum bimar-e-Madina ko
Is ko to mile ga bas aaram Madine mein
Jitne bhi muballigh hain ho khaas karam un par
Sab aaein Shehenshah-e-Islam Madine mein
Darbaar mein jab pahunchun ae kaash! uthaun dam
Deedar ka ho jaaye inaam Madine mein
Ae kaash! ke ro ro kar main tor dun qadmon mein
Ho jaaye mera ba-aakhir anjaam Madine mein
Allah qayamat tak jis ka na thumar utre
Ulfat ka piyun aisa ek jaam Madine mein
Ae kaash! tarap kar main Sarkar ko garne
Aur aap mujhe barh kar lein thaam Madine mein
Bulwa ke Baqi Aaqa Hasnain ke sadqe mein
Eidi mein ata kar do inaam Madine mein
Woh apne ghulamon ko shafqat se pilate hain bhar bhar ke may-e-ulfat ke jaam Madine mein
Insaan ke bajaye main ae kaash! muqaddar se hota koi adna sag-e-gumnam Madine mein
Jab Shahe-Madina ne parda kiya duniya se wallah gaya tha mach kehram Madine mein
Attar pe ab ae kaash! karam ho jaaye Makke mein sahar guzre to shaam Madine mein