Momin o waqt-e-adab hai aamad-e-mehboob-e-rab hai
Jaye aadab o tarab hai aamad-e-shah-e-arab hai
Ghunchay chatke phool mehke shaakh-e-gul par murgh chehke
Rota hai shaitan yeh keh ke aamad-e-shah-e-arab hai
Khwahish-e-zulf-e-nabi mein mast hain gul ki shameemein
Jhoom kar aayin naseemein aamad-e-shah-e-arab hai
Budliyan rahmat ki chhayein boondan rahmat ki aayin
Ab muradein dil ki payein aamad-e-shah-e-arab hai
Baj rahe hain shadiyan ne but lage kalma sunane
Har zaban pe hain tarane aamad-e-shah-e-arab hai
Abar-e-rahmat chha gaya hai kaabay pe jhanda gara hai
Baab-e-rahmat aaj wa hai aamad-e-shah-e-arab hai
Qasr-e-kisra kanpta hai khushk Sawa ho gaya hai
Har taraf se yeh sada hai aamad-e-shah-e-arab hai
Aata hai woh mah-e-liqa hai jis pe pyara kibriya hai
Do jahan mein ghulghula hai aamad-e-shah-e-arab hai
Aane wala hai woh pyara dono alam ka sahara
Kaabay ka chamka sitara aamad-e-shah-e-arab hai
Aata hai shah-e-hukoomat farz hai jis ki itaat
Har nabi ne di bisharat aamad-e-shah-e-arab hai
Hone wali woh sahar hai jo sahar rashk-e-qamar hai
Muqaddam-e-khair-ul-bashar hai aamad-e-shah-e-arab hai
Utho aaya taj wala arsh ki aankhon ka tara
Sab kaho ae mah-e-taiba salat-u-lahi alaik