Muhammad Mazhar-e-Kamil hai Haq ki shaan-e-izzat ka
Nazar aata hai is kasrat mein kuch andaaz-e-wahdat ka
Yahi hai asal-e-aalam maadda-e-ijaad-e-khilqat ka
Yahan wahdat mein barpa hai ajab hangama-e-kasrat ka
Gada bhi muntazir hai khuld mein nekon ki dawat ka
Khuda deen-e-khair se laye sakhi ke ghar ziyafat ka
Gunah maghfoor, dil roshan, khunak aankhein, jigar thanda
Ta’ala Allah! Mah-e-Taiba aalam teri tal’at ka
Na rakhi gul ke josh-e-husn ne gulshan mein ja baqi
Chatakta phir kahan ghuncha baagh-e-risalat ka
Barha yeh silsila rehmat ka daur-e-zulf-e-wala mein
Tasalsul kaale koson reh gaya isyaan ki zulmat ka
Saf-e-maatam uthay, khaali ho zindan, tootein zanjeerein
Gunahgaro! chalo Maula ne khola hai jannat ka
Sikhaya hai yeh kis gustaakh ne aaina ko Ya Rabb
Nazara roo-e-jana ka bahana kar ke hairat ka
Idhar ummat ki hasrat par udhar Khaliq ki rehmat par
Zawal aaye ga gardish chashm-e-shifa’at ka
Barhein is darja maujein kasrat-e-ifzaal-e-wala ki
Kinara mil gaya is nehar se darya-e-wahdat ka
Khum-e-zulf-e-Nabi sajid hai mehrab-e-do abru mein
Ke Ya Rabb tu hi wali hai siyah karan-e-ummat ka
Madad ae joshish-e-giriya baha de koh aur sehra
Na’ra aa jaye jalwa be-hijab is paak turbat ka
Huay gumkhwabi hijraan mein saaton parde khwabi
Tasawwur khoob bandha aankhon ne astar-e-sarbat ka
Yaqeen hai waqt-e-jalwa laghzishein paye nigah paye
Milay josh-e-safa-e-jism se pabos-e-hazrat ka
Yahan chirka namak wan marham-e-kafoor haath aaya
Dil-e-zakhmi namak parwarda hai kis ki malahat ka
Ilahi muntazir hoon woh kharam-e-naaz farmayein
Bicha rakha hai farsh aankhon ne kukhwab-e-basarat ka
Na ho Aqa ko sajda Adam-o-Yusuf ko sajda ho
Magar sadd-e-zaray-e-daab hai apni shariat ka
Zaban-e-khaar kis kis dard se un ko sunati hai
Tarapna dasht-e-Taiba mein jigar afgar-e-furqat ka
Sarhane un ke Ismaeel ke yeh betabi ka maatam hai
Shah-e-Kauthar tarahhum jaata hai ziyaarat ka
Jinhein marqad mein ta-hashr ummati keh kar pukaro ge
Hamein bhi yaad kar lo un mein sadqa apni rehmat ka
Woh chamkein bijliyan Ya Rabb tajalli-ha-e-jana se
Ke chashm-e-Toor ka surma ho dil mushtaq-e-ru’yat ka
Raza-e-khasta! josh-e-bahr-e-isyaan se na ghabrana
Kabhi to haath aa jaye ga daaman un ki rehmat ka