Mujhe us ki qismat pe rashk aa raha hai Madine ka jis ko bulawa mila hai
Yeh jo hichkiyan baandh kar ro raha hai gham-e-hijr ne is ko tadpa diya hai
Tabeebo! tumhara yahan kaam kya hai ke yeh to mareez-e-Habib-e-Khuda hai
Tere aashiqon ko qarar aaye kyunkar Madine se doori badi jaangusal hai
Bulalo! isi saal Aaqa! bulalo! Shaha! Hajj ka mausam qareeb aa raha hai
Tere dar ke hote kahan jaayein Aaqa ke tu hi gareebon ka ek aasra hai
Hamari tamannayein bar aaein Maula! hamara to sab haal tum par khula hai
Safeena kabhi mera doob jaata teri rehmaton ne sahara diya hai
Nigah-e-karam haal-e-khasta jigar par tasalsul gunah ka badha ja raha hai
Shifa do gunahon ke amraz se ab, ki bimar-e-isiyan mera ja raha hai
Gham-e-do jahan se chudwa ke Khudaya, gham-e-Mustafa de yehi iltija hai
Madina ho seena to seena Madina, meri zindagi ka yehi mudda hai
Rahe wird-e-lab bas Madina Madina, yehi aarzoo Ya Rasool-e-Khuda hai
Muballigh banun kash! main sunnaton ka, sada deen ki khidmat karoon ye dua hai
Habib-e-Khuda aa ke chamkaye ab, andhera meri qabr mein chha raha hai
Paye peer-o-murshid Baqi-e-Mubarak, ata ho ye toote dilon ki sada hai
Shah-e-muskurate huye aa bhi jao!, ki dil shor-e-mehshar se ghabra raha hai
Shah-e-apni jannat mein qadmon mein rakhna, yehi aajizana meri iltija hai
Na qadmon se Attar ko door karna
Ye tera gada hai bhala ya bura hai