Paaye ga Yunus Raza umre ki khair umeed hai
Gunbad-e-Khizra ki deed is ki bila shak eid hai
Marhaba! tum ko mubarak ho Madine ka safar
Fazl-e-Rab se tum pe nazil rehmatein hoon har dagar
Ya Khuda! aasaan ho is keliye pyara safar
Zauq barhta hi rahe is ka Khudaye bahr-o-bar
Ronay wali aankh de aur chaak seena kar ata
Yarab! is ko ulfat-e-Shah-e-Madina kar ata
Zarray zarray ka adab Allah is ko ho naseeb
Saiyidi Ahmad Raza ka wasta Rab-e-Mujeeb!
Imtehaan darpesh ho rah-e-Madina mein agar
Sabr kar tu sabr kar haan sabr kar bas sabr kar
Koi dhutkaray ya jhaarhay balkay maaray sabr kar
Mat jhagar, mat bur-bura, pa ajr-e-Rab se sabr kar
Rah-e-Janan ka har ik kanta bhi goya phool hai
Jo koi shikwa kare us ki yaqeenan bhool hai
Tum zaban ka aankh ka "Qufl-e-Madina" lo laga
Warna barh sakta hai isyan ka wahan bhi silsila
Guftagu sadir na kuch be-kaar ho ehram mein
Lab pe bas Labbaik ki takrar ho ehram mein
Jab kare tu khana Kaaba ka ro ro kar tawaf
Yeh dua karna mere gunah karde muaaf
Hazri ho jab Madine mein tumhari zairo!
Ishq-e-Shah mein khoob karna aah-o-zari zairo!
Ae Madine ke musafir dar pe le mera naam
Dast-e-basta arz karna un se ro ro kar salam
Rokay karna mere imaan ki hifazat ki dua
De shahadat ka sharaf mujh ko Madine mein Khuda
Ho Madine ka safar tum ko mayassar baar baar
Aur Baqi-e-Pak mein madfan bane anjam-e-kaar
Karna tum Attar ke haq mein dua-e-maghfirat
Is jahan mein aafiyat ho us jahan mein aafiyat