Na aasman ko yun sarkashida hona tha
Huzoor-e-khak-e-Madina khamida hona tha
Agar gulon ko khizan narsida hona tha
Kinar-e-khaar-e-Madina damida hona tha
Huzoor un ke khilaf-e-adab thi betabi
Meri umeed! tujhe aarmida hona tha
Nazara khak-e-Madina ka aur teri aankh
Na isqadar bhi qamar shokh dida hona tha
Kinar-e-khak-e-Madina mein raatein miltin
Dil-e-hazein! tujhe ashk-e-chakida hona tha
Panah-e-daman-e-dasht-e-haram mein chain aata
Na sabr-e-dil ko ghazaal-e-ramida hona tha
Yeh kaise khulta ke unke siwa shafee nahi
Abas na auron ke aage tapida hona tha
Hilaal kaise na banta ke maah-e-kaamil ko
Salaam-e-abroo-e-shah mein khameeda hona tha
La-amla-anna jahannama tha wa'da azali
Na munkiron ka abas bad-aqeeda hona tha
Naseem kyon na shameem unki Taiba se laati
Ke subh-e-gul ko garebaan dareeda hona tha
Tapakta rang-e-junoon ishq-e-shah mein har gul se
Rag-e-bahaar ko nashtar raseeda hona tha
Baja tha arsh pe khaak-e-mazaar-e-paak ko naaz
Ke tujh sa arsh nasheen aa-fareeda hona tha
Guzarte jaan se ek shor 'Ya Habeeb' ke saath
Fughaan ko naala-e-halq-e-bareeda hona tha
Mere kareem gunah zehar hai magar aakhir
Koi to shehd-e-shafa'at chashida hona tha
Jo sang-e-dar pe jabeen sayon mein tha mitna
To meri jaan sharaar-e-jaheeda hona tha
Teri qaba ke na kyon neeche neeche daaman hon
Ke khaaksaron se yaan kab kasheeda hona tha
Raza jo dil ko banana tha jalwa-gaah-e-habeeb
To pyaare qaid-e-khudi se raheeda hona tha