Na kyun araaishein karta Khuda duniya kay saamaan mein
Tumhein dulha bana kar bheja tha bazm-e-imkaan mein
Yeh rangeeni yeh shadabi kahan gulzar-e-Rizwan mein
Hazaron jannatein aakar basi hain kooye jaana mein
Khizan ka kis tarah ho dakhal jannat kay gulistan mein
Baharein bas chuki hain jalwa-e-rangeen-e-jaana mein
Tum aaye roshni phaili huwa din khul gayi aankhein
Andhera sa andhera chha raha tha bazm-e-imkaan mein
Thaka manda woh hai jo paaon apnay tor kar baitha
Wohin pahuncha huwa thehra jo pahuncha kooye jaana mein
Tumhara kalma parhta uthiye tum par sadqay honay ko
Jo paaye paak say thokar laga do jism-e-bejaan mein
Ajab andaaz say Mehboob-e-Haq nay jalwa farmaya
Suroor aankhon mein aaya jaan dil mein noor-e-imaan mein
Fida-e-Khaar-ha-e-Dasht-e-Taiba phool jannat ke
Yeh woh kaante hain jin ko khud jagah dein gul-e-rag-e-jaan mein
Har ek ki aarzoo hai pehle mujh ko zibah farmayein
Tamasha kar rahe hain marne wale eid-e-qurbaan mein
Zuhoor-e-Paak se pehle bhi sadqe the Nabi tum par
Tumhare naam hi ki roshni thi bazm-e-khooban mein
Kaleem aasa na kyun ghash hon un ke dekhne wale
Nazar aate hain jalwe Toor ke rukhsaar-e-tabaan mein
Hawa badli ghare badal khule gul bulbulein chehkein
Tum aaye ya bahar-e-jaan fiza aayi gulistan mein
Kisi ko zindagi apni na hoti us qadar meethi
Magar dhoondoon tumhare paon ka hai sheera jaan mein
Use qismat ne us ke jeete ji jannat mein pohanchaya
Jo dam lene ko baitha saya-e-deewar-e-jaanan mein
Kya parwanon ko bulbul nirali shama laye tum
Gire parte the jo aatish pe woh pohanche gulistan mein
Naseem-e-Taiba se bhi shama gul ho jaye lekin yun
Ke gulshan phoolen jannat lehla uthe charaghan mein
Agar dood-e-charagh-e-bazm-e-Shah chhoo jaye ka jal se
Shab-e-qadr-e-tajalli ka ho surma chashm-e-khooban mein
Karam farmaye gar bagh-e-Madina ki hawa kuch bhi
Gul-e-jannat nikal aayen abhi sarw-e-charaghan mein
Chaman kyonkar na mehkein bulbulein kyonkar na aashiq hon
Tumhara jalwa rangeen bhara phoolon ne daamaan mein
Agar dood-e-charagh-e-bazm-wala mas kare kuch bhi
Shamim-e-mushk bas jaye gul-e-shama-e-shabistan mein
Yahan ke sangrezon se Hasan kya laal ko nisbat
Yeh un ki reh-guzar mein hain woh patthar hain Badakhshan mein