Naseeb chamke hain farshiyon ke keh arsh ke chand aa rahe hain
Jhalak se jin ki falak hai roshan woh shams tashreef la rahe hain
Zamana palta hai rut bhi badli, falak pe chhayi hui hai badli
Tamam jungle bhare hain jal thal hare chaman leh-laha rahe hain
Hain wajd mein aaj daaliyan kyun yeh raqs Patton ko kyun hai shayad
Bahar aayi yeh muzda layi keh Haq ke Mehboob aa rahe hain
Khushi mein sab ki khuli hain baachhein rachi hai shadi machi hain dhoomein
Charand idhar khukhla rahe hain parind idhar cheh-cheha rahe hain
Nisar teri chehal pehal par hazar eidein Rabi-ul-Awwal
Sivaye Iblees ke jahan mein sabhi toh khushiyan mana rahe hain
Shab-e-wiladat mein sab musalman na kyun karein jaan-o-maal qurban
Abu Lahab jaise sakht kafir khushi mein jab faiz pa rahe hain
Zamana bhar mein yeh qaida hai keh jis ka khana usi ka gana
toh ne'matein jin ki kha rahe hain unhi ke hum geet ga rahe hain
Habib-e-Haq hain Khuda ki ne'mat fabi-ayyi ni'mati Rabbika fahaddis
Khuda ke farman par amal hai jo bazm-e-Maula saja rahe hain
Tabarak Allah hukumat un ki zameen toh kya sheh hai asmaan par
kya ishare se chand tukray chupa hua khur bula rahe hain
Main tere sadqah zameen-e-Taiba fida na kyun tujh pe ho zamana
Ke jin ki khatir bana zamana woh tujh mein aaram pa rahe hain
Hein jeete ji ye saare jhagde machi jo aankhein tamam chhoote
Kareem jalwa wahan dikhana jahan ke sab munh chhupa rahe hain
Jo qabr mein apni un ko paon pakad ke daman machal hi jaon
Jo dil mein reh ke chhupe the mujh se woh aaj jalwa dikha rahe hain
Nakeer-o-pehchanta hoon un ko ye mere Aaqa ye mere Data
Magar tum un se to itna poochho ye mujh ko apna bata rahe hain
Khuda ke woh hain khudai un ki Rab un ka Maula woh sab ke Aaqa
Nahin Khuda tak rasai un ki jo un se na-aashna rahe hain
Tamam duniya hai mulk jin ki hai jo ki roti khorak un ki
Kabhi khajooron pe hai guzara kabhi chhuware hi kha rahe hain
Phansa hai bahr-e-alam mein beeda paye Khuda na-khuda sahara
Akela Saalik hain sab mukhalif humoom duniya sata rahe hain