Nazar ek chaman se dochar hai na chaman chaman bhi shumar hai
Ajab us ke gul ki bahar hai ke bahar-e-bulbul-e-zar hai
Na dil-e-bashra figar hai ke malak bhi us ka shikar hai
Yeh jahan ke huda hazar hai jise dekho us ka hazar hai
Nahin sar ke sajda-e-ganan na ho na zaban ke zimurruma khwan na ho
Na woh dil ke us pe tapan na ho na woh seena jis ko qarar hai
Woh hai bhini bhini wahan mehak ke basa hai arsh se farsh tak
Woh hai pyari pyari wahan chamak ke wahan ki shab bhi nahar hai
Koi aur phool kahan khile hai josh-e-husn se
Na bahar aur pe rukh kare ke jhapuk palak ki to khar hai
Yeh saman yeh sosan-o-yasmin yeh banafsha sumbul-o-nastaran
Gul-o-sarw-o-lala bhara chaman wohi ek jalwa hazar hai
Yeh saba sanak woh kali chatak yeh zaban chehak lab-e-ju chhalak
Yeh mehak jhalak yeh chamak sab usi ke dam ki bahar hai
Woh jalwa-e-shahar-e-basheer hai wohi asl-e-alam-o-dahar hai
Wohi bahr hai wohi lehar hai wohi paat hai wohi dhar hai
Woh na tha to bagh mein kuch na tha woh na ho to bagh ho sab fana
Woh hai jaan-e-jaan se baqa yehi ban hai ban se hi bar hai
Yeh adab ke bulbul-e-be-nawa kabhi khul ke kar na sake nawa
Na saba ko tez ravish rawa na jhalakti nehron ki dhar hai
Ba-adab jhakalo sar-e-wila ke main naam loon gul-o-bagh ka
Gul-e-tar Muhammad-e-Mustafa un ka pak diyar hai
Wohi aankh un ka jo munh take wohi lab ke mehv hon naat ke
Wohi sar jo un ke liye jhuke wohi dil jo un pe nisar hai
Yeh kisi ka husn hai jalwa-gar ke tapan hain khoobon ke dil jigar
Nahin chaak jaib-e-gul-o-sehar ke qamar bhi seena figar hai
Wohi nazr-e-shah mein zar-e-nau jo ho unke ishq mein zard-roo
Gul-e-khuld isse ho rang jo yeh khizan woh taza bahaar hai
Jise teri saf-e-naal se mile do nawale nawaal se
Woh bana ke uske ugaal se bhari saltanat ka udhaar hai
Woh uthein chamak ke tajalliyan ke mita dein sab ki ta'alliyan
Dil-o-jaan ko bakhshein tasalliyan tera noor baarid-o-haar hai
Rusul-o-malak pe durood ho wohi jaane unke shumaar ko
Magar ek aisa dikha to do jo shafi-e-roz-e-shumaar hai
Na hijaab-e-charkh-o-maseeh par na kaleem-o-toor nihan magar
Jo gaya hai arsh se bhi udhar woh Arab ka naqa sawaar hai
Woh teri tajalli-e-dil-nasheen ke jhalak rahe hain falak zameen
Tere sadqe mere meh mein meri raat kyun abhi taar hai
Meri zulmat-ein hain sitam magar tera munh na mehr ke mehr-gar
Agar ek chheent pade idhar shab-e-daaj abhi to nahaar hai
Gunah Raza ka hisaab kya woh agarcheh laakhon se hain siwa
Magar ae afw tere afw ka na hisaab hai na shumaar hai
Tere deen-e-pak ki woh ziya ke chamak uthi reh-e-Mustafa
Jo na maane aap saqar gaya kahin noor hai kahin naar hai
Koi jaan bas ke mehak rahi kisi dil mein usse khatak rahi
Nahi uske jalwe mein yak rahi kahin phool hai kahin khaar hai
Woh jise wahabiyah ne diya hai laqab shaheed-o-zabeeh ka
Woh shaheed-e-laila-e-najd tha woh zabeeh-e-tegh-e-khiyaar hai
Yeh hai deen ki taqwiyat uske ghar yeh hai mustaqeem sirat-e-shar
Jo shaqi ke dil mein hai gaon-khar to zabaan pe choda chumaar hai
Woh habeeb pyara to umr bhar kare faiz-o-jood hi sar-ba-sar
Are tujhko khaye tap-e-saqar tere dil mein kis se bukhaar hai
Woh Raza ke neza ki maar hai ke adu ke seena mein ghaar hai
Kise chaara joi ka waar hai ke yeh waar waar se paar hai