Nazdeek aa raha hai Ramadan ka mahina
Sahil se hajiyon ka phir hoga safina
Aaqa! na toot jaaye yeh dil ka aabgina
Bulwaiye Madine dikhlaiye Madina
Dil ro rahe hain jin ke aansu chhalak rahe hain
Un aashiqon ka sadqa! bulwaiye Madina
Hajr o firaq mein dil be-taab ho rahe hain
Ushaaq ro rahe hain lo chal diya safina
Be-taab ho raha hai Taiba ki haazri ko
Aashiq tarap raha hai aur phat raha hai seena
Roze ko dekhne ko aankhein taras rahi hain
Dikhla do sabz gumbad ya Sayyid-e-Madina
Nazar-e-karam khudara mere siyah dil par
Ban jaaye ga yeh dam bhar mein be-baha nagina
Rangini-e-jahan se dil toot jaaye mera
Ya Rabb! mujhe bana de tu aashiq-e-Madina
Aansoo na tham rahe hon dil khoon ugal raha ho
Jis waqt tere dar par aa'un Shah-e-Madina
Bas arzoo yahi hai qadmon mein jaan nikle
Pyare Nabi SAW hamara madfan bane Madina
Ae be-kason ke hamdam! dunya ke door hon gham
Bas jaaye dil mein Ka'ba seena bane Madina
Tableegh-e-sunnaton ki karta rahon hamesha
Marna bhi sunnaton mein ho sunnaton mein jeena
Aaqa! meri huzoori ki arzoo ho poori
Ho jaaye door doori ae Wali-e-Madina
Un ke dayaar mein tu kaise chale phire ga?
Attar! teri jurrat! tu jaaye ga Madina!!