Phir Bula Karbala Ya Shah-e-Karbala
Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri
Phir bula Karbala, ya Shah-e-Karbala
Apna roza dikha, ya Shah-e-Karbala
Tere darbar ko, us kay anwar ko
Aah! kab paoon ga, ya Shah-e-Karbala
Main nay chomi nahi, Karbala ki zameen
Ek arsa hua, ya Shah-e-Karbala
Koocha-e-pak ko, khas ko khashak ko
Chomoon aakar shaha, ya Shah-e-Karbala
Aisa paoon junoon, dhadkanon mein sunoon
Karbala Karbala, ya Shah-e-Karbala
Apnay char yaar, aye Shah-e-zi-waqar
Apna sheyda bana, ya Shah-e-Karbala
Chashm-e-nam dijiye, apna gham dijiye
Az tufail-e-Raza, ya Shah-e-Karbala
Khwab mein aaiye, jalwa dikhlaiye
Az pay-e-Mustafa, ya Shah-e-Karbala
Is gunahgar ko, khwar-o-badkar ko
Jaisa bhi hai nibha, ya Shah-e-Karbala
Ibn-e-Shah-e-Arab! marz-e-isyaan say ab
De do mujh ko shifa, ya Shah-e-Karbala
Ek mazloom ko apnay maghmoom ko
Aafton say chuda, ya Shah-e-Karbala
Meray ujray chaman ki bhuran kay liye
Ab to barsa shaha, ya Shah-e-Karbala
Dil ko mil jaye chain, Ilahi! Yaseen
Hoon bohat ghamzada, ya Shah-e-Karbala
Ab ho rukhsat khizan, khul uthay gulistan
Woh chala do hawa, ya Shah-e-Karbala
Zulfiqar-e-Ali, jab adu par chali
Qahar sa chha gaya, ya Shah-e-Karbala
Aah! dushman meray, khoon kay piyasay huay
Leykay talwar aa, ya Shah-e-Karbala
Sun lo faryad ko, aao imdad ko
Ibn-e-Mushkil Kusha, ya Shah-e-Karbala
Ho muyassar ab shahadat ka jaam
Kardo haq say dua, ya Shah-e-Karbala
Janib-e-Karbala, kaash! Attar ka
Chal paray qafila, ya Shah-e-Karbala