Phir Madine ki galiyon mein aye Kirdgar, kash pahunchun main rota hua zaar zaar
Kash aakar madine mein parwana waar, sabz gunbad pe ho jaun Aaqa nisaar
Maal-o-daulat ke anbaar beshak na do, bas muqaddar mein likh do madine ke khaar
Saqiya jaam aisa pila do mujhe, ba'd-e-murdan bhi utre na jis ka khumaar
Choomta rehta na'lain-e-Sarkar ke, kash hota main Taiba ka gard-o-ghubaar
Aagaya hajj ka mausam qareeb aagaya, mujh pe bhi ho karam mere Parwardigar
Sindh ke baagh aankhon mein jachte nahi, ab dikha do Arab ke haseen reegzaar
Ham sabhi un ke darbar-e-durbar mein, jayenge InshaAllah zaroor ekbaar
Az tufail-e-Bilal-o-Awais-o-Raza, do dil-e-beqarar aankh do ashkbaar
Mujh ko aalaam-e-dunya se aazad kar, main tere gham mein roun Shaha zaar zaar