Qafas jism se chhutte hi yeh puran hoga
Murgh-e-jaan Gumbad-e-Khazra pe ghazal khwan hoga
Roz-o-shab marqad-e-aqdas ka jo nigran hoga
Apni khush-bakhti pe woh kitna na nazan hoga
Us ki qismat ki qasam khayein farishtey toh baja
Eid ki tarah woh har aan mein shadan hoga
Is ki farhat pe tasadaq hoon hazaron eidein
Kab kisi eid mein aisa koi farhan hoga
Chaman-e-Taiba mein toh dil ki kali khulti hai
Kya Madine se siva rauzah-e-Rizwan hoga
Woh gulistan hai jahan Aap hon ae Jaan-e-Janan
Aap sehra mein agar aaein gulistan hoga
Aap aajayein jo chaman se toh chaman jaan-e-chaman
Khasa ek khaak-e-basar dasht-e-mughilaan hoga
Jaan-e-imaan hai mohabbat teri jaan-e-janan
Jis ke dil mein yeh nahin khaak-e-musalmaan hoga
Dard-e-furqat ka madawa na hua aur na ho
Kya tabibon se mere dard ka darman hoga
Jis ne tabrid-e-batai khafaqan hoga use
Kya thandai se ilaj-e-tap-e-hijran hoga
Gaharbai na ho kyun rang mere chehre ka
Jitna iqan badha utna hi tarsan hoga
Noor-e-imaan ki jo mashal rahe roshan phir toh
Roz-o-shab marqad-e-Noori mein chiraghan hoga
Ek ghazal aur chamakti si suna de Noori
Dil jala paaye ga mera tera ehsaan hoga