Rah-e-pur-khaar hai kya hona hai
Paaon afgaar hai kya hona hai
Khushk hai khoon ke dushman-e-zaalim
Sakht khoon-khwaar hai kya hona hai
Ham ko bad kar wahi karna jis se
Dost bezaar hai kya hona hai
Tan ki ab kaun khabar le hai hai
Dil ka aazaar hai kya hona hai
Meethe sharbat de masiha jab bhi
Zidd hai inkaar hai kya hona hai
Dil ke teemaar hamara karta
Aap beemar hai kya hona hai
Par kate tang qafas aur bulbul
Nau giraftaar hai kya hona hai
Chup ke logon se kiye jis ke gunaah
Woh khabardaar hai kya hona hai
Are o mujrim-e-be-parwa dekh
Sar pe talwar hai kya hona hai
Tere beemar ko mere eesa
Ghash lagaataar hai kya hona hai
Nafs pur-zor ka woh zor aur dil
Zer-e-zaar hai kya hona hai
Kaam zindaan ke kiye aur hamein
Shauq-e-gulzaar hai kya hona hai
Haaye re neend musaafir teri
Koch tayyaar hai kya hona hai
Door jaana hai raha din thoda
Raah dushwaar hai kya hona hai
Ghar bhi jaana hai musaafir ke nahin
Mat pe kya maar hai kya hona hai
Jaan halkan hui jaati hai
Baar sa baar hai kya hona hai
Paar jaana hai nahin milti naao
Zor par dhaar hai kya hona hai
Raah to tegh par aur taluon ko
Gila-e-khaar hai kya hona hai
Raushni ki hamein aadat aur ghar
Teera-o-taar hai kya hona hai
Beech mein aag ka dariya haail
Qasd us paar hai kya hona hai
Is kadi dhoop ko kyon kar jhelein
Shola-zan naar hai kya hona hai
Haye bigdi toh kahan aa kar nao
Ain manjhdhar hai kya hona hai
Kal toh deedar ka din aur yahan
Aankh be-kaar hai kya hona hai
Munh dikhane ka nahin aur sehar
Aam darbar hai kya hona hai
Un ko reham aaye toh aaye warna
Woh kadi maar hai kya hona hai
Le woh haakim ke sipahi aaye
Subah izhaar hai kya hona hai
Wan nahin baat banane ki majaal
Chara-e-iqrar hai kya hona hai
Saath walon ne yahin chhod diya
Be-kas yaar hai kya hona hai
Aakhri deed hai aao mil lein
Ranj be-kaar hai kya hona hai
Dil humein tum se lagana hi na tha
Ab safar baar hai kya hona hai
Jaane walon pe yeh rona kaisa
Banda na-chaar hai kya hona hai
Naz'a mein dhyan na bat jaye kahin
Yeh abas pyaar hai kya hona hai
Is ka gham hai ke harak ki surat
Gale ka haar hai kya hona hai
Baatein kuch aur bhi tum se karte
Par kahan waar hai kya hona hai
Kyun Raza garhte ho hanste utho
Jab woh Ghaffar hai kya hona hai