Rashk-e-qamar hoon rang-e-rukh-e-aftaab hoon
Zarra tera jo ae shah-e-gardoon janaab hoon
Dur-e-najaf hoon gohar-e-paak-e-khushaab hoon
Ya'ni turaab-e-reh-guzar-e-bu-turaab hoon
Gar aankh hoon to abr ki chashm-e-pur aab hoon
Dil hoon to barq ka dil-e-pur iztiraab hoon
Khooneen jigar hoon taair-e-be aashiyaan shaha
Rang-e-pareedah rukh-e-gul ka jawaab hoon
Be-asl-o-be sabaat hoon bahr-e-karam madad
Pajmurdah kinaar-e-saraab-o-hubaab hoon
Ibrat faza hai sharm-e-gunah se mera sakoot
Gooya lab-e-khamosh-e-lahad ka jawaab hoon
Kyun nala soz-e-le karun kyun khoon-e-dil piyun
Tegh-e-kabaab hun na mein jaam-e-sharab hun
Dil basta be-qarar, jigar chaak, ashk-baar
Ghungha hun gul hun barq-e-tapaan hun sahab hun
Daawa hai sab se teri shifa'at pe beshtar
Daftar mein aasiyon ke shaha intekhab hun
Maula duhai nazron se rag-rag jala ghulam
Ashk-e-muzhgan raseeda chashm-e-kabaab hun
Mit jaye yeh khudi to woh jalwa kahan nahin
Darda mein aap apni nazar ka hijab hun
Sadqe hun us pe naar se dega jo mukhlisi
Bulbul nahin ke aatish-e-gul par kabaab hun
Qalib tahi kiye hama aaghosh hai hilal
Ae shahsawar-e-Taiba! mein teri rikaab hun
Kya kya hain tujh se naaz tere qasr ko ke mein
Ka'aba ki jaan, arsh-e-bareen ka jawab hun
Shaha bujhe saqar mere ashkon se taana mein
Aab-e-abas chakida chashm-e-kabaab hun
Mein to kaha hi chahun ke banda hun shah ka
Pur-lutf jab hai keh dein agar woh janaab hun
Hasrat mein khaak-bosi-e-Taiba ki ae Raza
Tapka jo chashm-e-mehr se woh khoon-e-naab hun