Rehmat na kis tarah ho gunahgar ki taraf
Rehman khud hai mere tarafdar ki taraf
Jaan-e-jinaan hai dasht-e-Madina teri bahaar
Bulbul na jaye gi kabhi gulzar ki taraf
Inkar ka waqoo' toh kya ho kareem se
Mail hua na dil kabhi inkar ki taraf
Jannat bhi lene aaye toh chhodein na yeh gali
Munh pher baithein hum teri deewar ki taraf
Munh us ka dekhti hain baharein bihisht ki
Jis ki nigah hai tere rukhsaar ki taraf
Jaan bakhshiyan Maseeh ko hairat mein daal dein
Chup baithe dekhte teri raftaar ki taraf
Mehshar mein aftab udhar aur idhar
Aankhein lagi hain daman-e-dildaar ki taraf
Phaila hua hai haath tere dar ke samne
Gardaan jhuki hui teri deewar ki taraf
Go beshumar jurm hon go be-adad gunah
Kuch gham nahi jo tum ho gunahgar ki taraf
Yun mujh ko maut aaye toh kya poochna mera
Main khaak par nigah dar-e-yaar ki taraf
Ka'be ke sadqe dil ki tamanna magar yeh hai
Marne ke waqt munh ho dar-e-yaar ki taraf
De jate hain murad jahan mangte wahan
Munh hona chahiye dar-e-sarkar ki taraf
Roke gi hashr mein jo mujhe pashikastagi
Daudein ge haath daman-e-dildaar ki taraf