Aate rahe ambiya kama qeela lahum
Wal-khatimu haqqukum ke khatam hue tum
Ya'ni jo hua daftar-e-tanzeel tamam
Aakhir mein hui mohr ke akmaltu lakum
Shab-e-lihya-o-sharab hai rukh-e-roshan din
Gesoo-o-shab-e-qadr-o-barat-e-momin
Mizhgan ki safein chaar hain do abroo hain
Wal-fajri ke pehlu mein layalin ashrain
Allah ki sar ta ba-dum shaan hain yeh
In sa nahin insaan woh insaan hain yeh
Quran to imaan batata hai unhein
Imaan yeh kehta hai meri jaan hain yeh
Bosa-gah-e-ashab woh mohr-e-sami
Woh shana chup mein us ki ambar fami
Yeh tarfa hai ke ka'ba-e-jaan-o-dil mein
Sang-e-aswad naseeb-e-rukn-e-shami
Ka'ba se agar turbat-e-shah fazil hai
Kyun bayein taraf us ke manzil hai
Is fikr mein jo dil ki taraf dhyan gaya
Samjha ke woh jism hai yeh marqad dil hai
Tum jo chaho to qismat ki museebat tal jaye
Kyun kar kahoon sa'at se qayamat tal jaye
Lillah utha do rukh-e-roshan se naqab
Maula meri aayi hui shamat tal jaye
Yaan shibh-e-shabeeh ka guzarna kaisa
Be-misl ki timsal sanwarna kaisa
Un ka muta'lliq hai taraqqi pe mudam
Tasveer ka phir kahiye utarna kaisa
Yeh shah ki tawazo ka taqaza hi nahin
Tasveer khinche un ko gawara hi nahin
Ma'ni hain yeh mani ke karam kya maane
Khinchna to yahan kisi se thehra hi nahin
Kafsh-e-pa un ki rakhun sar pe to paaun izzat
Khak-e-pa un ki malun munh pe to paaun tal'at
Taiba ki thandi hawa aaye to paaun farhat
Qalb-e-bechain ko chain aaye to jaan ko rahat
Manzoor-e-nazar hai bas sana-e-sarkar
Jaan-e-dojahan ki jo hain sar-e-har kaar
Noori kaafi hai do jahan mein mujh ko
Maqbool agar hon un ko mere afkar
Gulha-e-sana se mehakte hue haar
Suqm-e-shar'i se hain munazzah ashaar
Dushman ki nazar mein yeh na khatken kyonkar
Hain phool magar hain chashm-e-a'da mein khaar