Duaon aur nasihaton bhara rukhsati nama apni madani beti bint....... ke naam
Fazl-e-Rab se bint........... dulhan bani
Phool khushiyon ke khile chadar haya ki hai tani
Tujh ko ho shadi mubarak ho rahi hai rukhsati
Rukhsati mein teri panhai qamar ki hai rukhsati
Ghar tera ho mushkbar aur zindagi bhi pur bahaar
Rab ho raazi khush hon tujh se do jahan ke tajdar
Madani beti ka khudaya ghar sada abad rakh
Fatima-tu-Zahra ka sadqa do jahan mein shad rakh
Yeh miyan biwi ilahi makr-e-shaitan se bachein
Yeh namazein bhi parhein aur sunnaton par bhi chalein
Yeh miyan biwi chalein hajj ko ilahi! baar baar
Baar baar in ko madina bhi dikha parwardigar
..................................................... Madina
Ae posheeda ae khush
Tera susral apne Rab ke fazl se khush-haal ho
Tera maika bhi karam se Rab ke mala-maal ho
Tu na ghaflat karna shohar ki ita'at se kabhi
Warna tu ae pyari beti hashr mein pachhtaye gi
Madani beti ya Khuda ghusse ki ho hargiz na tez
Yeh kare susral mein har dam ladai se gurez
Yad rakh! tu aaj se bas tera ghar susral hai
Saas nandon par bigarna aafton ka jaal hai
Maan samajh kar jo huwa karti hai khidmat saas ki
Raaj karti hai sada saare gharane par wahi
Saas nandon ki tu khidmat kar ke ho ja kamyab
Un ki gheebat kar ke mat kar baithna khana kharab
Saas aur nandein agar sakhti karein to sabr kar
Sabr kar bas sabr kar chalta rahe ga tera ghar
Saas aur nandon ka shikwa apne maike mein na kar
Is tarah barbad ho sakta hai beti tera ghar
Maike ke mat kar fazail tu bayan susral mein
Ab samajh susral hi ko apna ghar har haal mein
Yad rakh tu ne zaban kholi agar susral mein
Phans ke tu jhagron ke sun reh jaye gi janjal mein
Saas chini tu bhi sunhari aur ladai than gayi
Hai kahan bhool ek ki do hath se taali baji
Dars de 'Faizan-e-Sunnat' se sada susral mein
Deeni mahol is tarah ban jaye ga susral mein
Gar nasihat par amal Attar ki hoga tera
InshaAllah apne ghar mein tu sukhi hogi sada