Rusul unhein ka to muzda sunane aaye hain
Unhein ke aane ki khushiyan manane aaye hain
Farishtay aaj jo dhoomein machane aaye hain
Unhein ke aane ki shadi rachane aaye hain
Falak ke hoor o malak geet gaane aaye hain
Ke do jahan mein yeh dankay bajane aaye hain
Yeh seedha rasta haq ka batane aaye hain
Yeh haq ke bandon ko haq se milane aaye hain
Yeh bhoole bichron ko raste pe lane aaye hain
Yeh bhoole bhatkon ko hadi banane aaye hain
Khudaye pak ke jalway dikhane aaye hain
Dilon ko noor ke buq'ay banane aaye hain
Yeh qaid o band-e-alam se chhurane aaye hain
Lo muzda ho ke rehai dilane aaye hain
Chamak se apni jahan jagmagane aaye hain
Mehak se apni yeh koochay basane aaye hain
Naseem-e-faiz se ghunchay khilane aaye hain
Karam ki apni baharein dikhane aaye hain
Yahi to sotay huon ko jagane aaye hain
Yahi to rotay huon ko hansane aaye hain
Yeh kufr o shirk ki neevon hilane aaye hain
Yeh shirk o kufr ki tameerein dhane aaye hain
Hazar saal ki roshan shuda bujhi aatish
Yeh kufr o shirk ki aatish bujhane aaye hain
Sahar ko noor jo chamka to sham tak chamka
Bata diya ke jahan jagmagane aaye hain
Inhein Khuda ne kiya apne mulk ka maalik
Inhein ke qabzay mein Rab ke khazanay aaye hain
Jo chahein ge jisay chahein ge yeh usay dein ge
Kareem hain yeh khazanay lutaanay aaye hain
Jo gir rahay thay inhein naibon ne thaam liya
Jo gir chukay hain yeh un ko uthaane aaye hain
Masih-e-paak ne ajshaam-e-murda zinda kiye
Yeh jaan-e-jaan-o-jaan ko jilaane aaye hain
Bulawa aap ka ab tak diya kiye naib
Ab aap bando ko apne bulaane aaye hain
Ra'oof aisay hain yeh raheem hain itnay
Ke girtay parton ko seenay lagaane aaye hain
Sunogay 'la' na zabaan-e-kareem se Noori
Yeh faiz-o-jood ke darya bahaane aaye hain