(Alhamdulillah 141 Hijri ki hazri mein bataareekh 27 Zilhajj Masjid-e-Nabvi Sharif 'ala sahibuha-s-salatu-w-assalam mein baith kar yeh kalam qalamband kiya)
Sab pukaro jhoom kar meetha Madina marhaba
Kar ke kham sab apna sar meetha Madina marhaba
Dooba rehta hai Madina roshni mein har ghari
Shaam ho ya ho sahar, meetha Madina marhaba
Noor barsatay minaray sabz gumbad ki bahar
Dil ho roshan dekh kar meetha Madina marhaba
Jaantay ho sabz gumbad kyun haseen hai is qadar
Is mein hai Aqa ka ghar meetha Madina marhaba
Phool mehkay, dhool chamkay, khoobsurat har bu-bol
Pur-kashish har ik hajar, meetha Madina marhaba
Phootti tarka hua aur chehchahayein bulbulein
Hai samaan rangeen tar meetha Madina marhaba
Jabkeh chalti hai saba Aaqa ka roza choom kar
Jhoom uthte hain shajar meetha Madeena marhaba
Barq chamki, lehar ubhri, abar barsa aur gaya
Gunbad-e-Khizra nikhar meetha Madeena marhaba
Azmatein hain rif'atein hain ne'matein hain barkatein
Rehmatein hain har dagar meetha Madeena marhaba
Phool toh phir phool hain kaante bhi uske husn mein
Khoob se hain khoob tar meetha Madeena marhaba
Sangrezon ki chamak ke saamne sab hech hain
Dunyawi la'l-o-gauhar meetha Madeena marhaba
Hein faza'ein khushgawar uski hawa'ein mushkbar
Hai mu'attar kis qadar meetha Madeena marhaba
Is liye toh hum ko pyara hai Madeena rehte hain
Is mein Shah-e-Bahr-o-Bar meetha Madeena marhaba
Khuld ki rangeeniya shadaabiyaan tasleem hain
Yeh sab apni ja magar meetha Madeena marhaba
Noor ki barse phuhaar is mein rahe har dam bahaar
Khoobsurat hai nagar meetha Madeena marhaba
Husn-e-Paris ka fada'i bhi yahan par jhoom uthe
Sabz gunbad dekh kar meetha Madeena marhaba
Bakriyaan toh bakriyaan chidiyaan bhi uski mohtaram
Aor kabootar bakhtyaar meetha Madeena marhaba
Bahr-e-Tayyaba mein jo rote hain Khudaya ho naseeb
Un ko Tayyaba ka safar meetha Madeena marhaba
Ya Rasool-Allah kehte hi talengi mushkilein
Ghamzada aao idhar meetha Madeena marhaba
Raat roshan din munawwar sab samaan pur-noor hai
Dekh lo ahl-e-nazar meetha Madeena marhaba
Jhoom kar taare karein deedar-e-Tayyaba roz aur
Hoon fida Shams-o-Qamar meetha Madeena marhaba
Jo Madeene aa gaya Attar aakar mar gaya
Woh bada hai bakhtyaar meetha Madeena marhaba