Sab se awla-o-aala hamara Nabi
Sab se bala-o-wala hamara Nabi
Apne maula ka pyara hamara Nabi
Donon aalam ka dulha hamara Nabi
Bazm-e-aakhir ka shamma-e-furozan huwa
Noor-e-awwal ka jalwa hamara Nabi
Jis ko shayan hai arsh-e-khuda par jaloos
Hai woh sultan-e-wala hamara Nabi
Bujh gayin jis ke aage sabhi mash'alen
Shamma woh le kar aaya hamara Nabi
Jis ke talwon ka dhowan hai aab-e-hayat
Hai woh jaan-e-maseeha hamara Nabi
Arsh-o-kursi ki thin aaina bandiyan
Soo-e-haq jab sudhara hamara Nabi
Khalq se awliya, awliya se rusul
Aur rasoolon se aala hamara Nabi
Husn khata hai jis ke namak ki qasam
Woh malihe dil ara hamara nabi
Zikr sab pheekay jab tak na mazkoor ho
Namkeen husn wala hamara nabi
Jis ki do boond hain Kausar-o-Salsabeel
Hai woh rehmat ka dariya hamara nabi
Jaise sab ka Khuda ek hai waise hi
Un ka un ka tumhara hamara nabi
Qarnon badli rasoolon ki hoti rahi
Chand badli ka nikla hamara nabi
Kaun deta hai dene ko munh chahiye
Dene wala hai sacha hamara nabi
Kya khabar kitne tare khule chhup gaye
Par na doobay na dooba hamara nabi
Mulke kaunain mein ambiya tajdar
Tajdaron ka aaqa hamara nabi
Lamakan tak ujala hai jis ka woh hai
Har makan ka ujala hamara nabi
Saray achhon mein achha samjhiye jisay
Hai us achhay se achha hamara nabi
Saray oonchon mein ooncha samjhiye jisay
Hai us oonchay se ooncha hamara nabi
Ambiya se karoon arz kyun malko
Kya nabi hai tumhara hamara nabi
Jis ne tukray kiye hain qamar ke woh hai
Noor-e-wahdat ka tukra hamara nabi
Sab chamak wale ujlon mein chamak kiye
Andhay sheeshon mein chamka hamara nabi
Jis ne murda dilon ko di umre abad
Hai woh jane maseeha hamara nabi
Ghamzadon ko Raza muzda deeje ke hai
Be-kason ka sahara hamara nabi