Sar-e-Kham haath mera utha hai ya Khuda tujh se meri dua hai
(Yeh kalam 8 Shawwal-ul-Mukarram 1431 Hijri ko compose kiya gaya)
Sar-e-Kham haath mera utha hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Fazl ki raham ki iltija hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Qalb mein yaad-e-lab par sana hai mere har dard ki yeh dawa hai
Kaun dukhion ka tere siwa hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Qalb-e-sakhti mein had se barha hai banda talib tere khauf ka hai
Iltija-e-gham-e-Mustafa hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Hubb-e-dunya mein dil phans gaya hai nafs-e-badkar haawi hua hai
Haaye shaitan bhi peeche para hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Aah! banda dukhon mein ghira hai is ko tera hi bas aasra hai
Iltija-e-karam ya Khuda hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Tera in'aam hai ya Ilahi kaisa ikraam hai ya Ilahi
Haath mein daman-e-Mustafa hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Ishq de soz de chashm-e-nam de mujh ko mithay Madinay ka gham de
Wasta Gumbad-e-Sabz ka hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Har gunah se bacha mujh ko Maula nek khaslat bana mujh ko Maula
Tujh ko Ramazan ka wasta hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Fazl kar raham kar tu ata kar aur muaf ae Khuda har khata kar
Wasta Panjtan-e-Paak ka hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Afw-o-rahmat ka bakhshish ka saail hoon nihayat gunahgar-o-ghafil
Mera sab haal tujh par khula hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Hoon bazahir bara nek surat kar bhi de mujh ko ab nek seerat
Zahir achha hai batin bura hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Be-sabab ae Khuda kar de bakhshish hashr mein mujh se karna na pursish
Naam Ghaffar Maula tera hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Mujh khata kar par bhi ata kar be-sabab bakhsh de Rabb-e-Akbar
Mujh ko dozakh se dar lag raha hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Naz'a mein Rabb-e-Ghaffar tujh se maut se qabl bimar tujh se
Talib-e-jalwa-e-Mustafa hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Qabr mein mujh ko tanha lita kar chal diye haaye saare baradar
Dil andheray mein ghabra raha hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Maghfirat ka hoon tujh se sawali pheerna apne dar se na khaali
Mujh gunahgar ki iltija hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Mere murshid jo Ghaus-ul-Wara hain Shah Ahmad Raza rehnuma hain
Yeh tera lutf teri ata hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Nar-e-dozakh se mujh ko amaan de maghfirat kar ke bagh-e-jinan de
Kar de rahmat meri iltija hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Wasta tujh ko pyare Nabi ka aur as-hab-o-aal-e-Nabi ka
Bakhshish de mujh ko yeh iltija hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Ya Khuda mah-e-Ramazan ke sadqay sachhi tauba ki taufeeq de de
Nek ban jaun jee chahta hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Zarra-e-isyan mita ya Ilahi de de kamil shifa ya Ilahi
Tujh se bimar ki iltija hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Jo hain bimar sehat ke talib un pe farma karam Rabb-e-Ghalib
Tujh se raham-o-karam ki dua hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Main ne mana ke sab se bura hoon kis ka hoon? Tera hoon main tera hoon
Naaz rahmat pe mujh ko bara hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Aib dunya mein tu ne chhupaye hashr mein bhi na ab aanch aaye
Aah! nama mera khul raha hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Umr badiyon mein sari guzari haaye! phir bhi nahin sharm-saari
Bakhshish-e-Mahjoob ka wasta hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Ird-e-lab kalima-e-tayyaba ho aur Imaan par khaatma ho
Aa gaya haaye! waqt-e-qaza hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Ya Khuda aise asbab paoon kaash Makkay Madinay mein jaun
Mujh ko arman hajj ka bara hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Aah! ranj-o-alam ne hai maara ya Ilahi mujhe de sahara
Ek ghamgeen dil ki sada hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Meri jaan aafaton se chhurana mauzi amraz se bhi bachana
Tujh ko Siddiq ka wasta hai ya Khuda tujh se meri dua hai
Tu ata hilm ki bheek kar de mere akhlaq bhi theek kar de
Tujh ko Farooq ka wasta hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Go ye banda nikamma hai bekar is se le fazl se Rabb-e-Ghaffar
Kaam woh jis mein teri raza hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Tere pyare ki dukhiyari ummat par hai sailab ki aayi aafat
Reham kar bas tera aasra hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Har taraf se balaon ne ghera aafaton ne lagaya hai dera
Tu hi ab mera hajat rawa hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Us ki jholi muradon se bhar de us ke haq mein jo behtar ho kar de
Jis ne mujh se dua ka kaha hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Ishq-e-Ahmed mein aansu bahaun hub-e-dunya se khud ko bachaun
Aisi taufiq de iltija hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Meri dushman se farma hifazat deen o iman bhi rakhna salamat
Madina
Dasht basta meri iltija hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Meharban tu hi, tu hi madadgar us dukhi dil ka tu hami-e-kar
Jis ko dunya ne thukra diya hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Sakht goi ki mit jaye khaslat narm goi ki par jaye aadat
Wasta khulq-e-mehboob ka hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Sunnaton ki karoon khoob khidmat har kisi ko doon neki ki dawat
Neek mein bhi banoon iltija hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Qaflon mein safar ki ho kasrat hum se yun deen ki le le khidmat
Aajizana Ilahi dua hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Meri bak bak ki aadat mita de aur aankhein haya se jhuka de
Sadqa Usman ka jo bahaya hai Ya Khuda tujh se meri dua hai
Ya Ilahi kar aisi inayat
De de iman par istiqamat
Tujh se Attar ki iltija hai
Ya Khuda tujh se meri dua hai