Sar su-e-rauza jhuka phir tujh ko kya
Dil tha sajid-e-najdiya phir tujh ko kya
Baithe uthay madad ke wastey
Ya Rasool Allah kaha phir tujh ko kya
Ya garaz se chhut ke mehez zikr ko
Naam-e-paak un ka japa phir tujh ko kya
Be-khudi mein sajda dar ya tawaf
Jo kiya achha kiya phir tujh ko kya
Un ko tamleek-e-Maleek-ul-Mulk se
Maalik-e-alam kaha phir tujh ko kya
Un ke naam-e-paak par dil jaan-o-maal
Nichhawar sab tujh diya phir tujh ko kya
Ya'ibadi keh ke hum ko Shah ne
Apna banda kar liya phir tujh ko kya
Diw ke bandon se kab hai yeh khitab
Tu na un ka hai na tha phir tujh ko kya
La ya'uduna agay ho ga bhi nahin
Tu alag hai da'iman phir tujh ko kya
Dasht-e-gard-o-pesh-e-Taiba ka adab
Makka sa tha ya siwa phir tujh ko kya
Najdi marta hai ke kyun ta'zeem ki
Yeh hamara deen tha phir tujh ko kya
Diw tujh se khush hai phir hum kya karein
Hum se raazi hai Khuda phir tujh ko kya
Diw ke bandon se hum ko kya garaz
Hum hain Abd-e-Mustafa phir tujh ko kya
Teri dozakh se to kuch chheena nahin
Khuld mein pahuncha Raza phir tujh ko kya