Sehar chamki jamal-e-fasl-e-gul aaraishon par hai
Naseem-e-rooh parwar se masham-e-jaan mu'attar hai
Qareeb-e-taiba bakhshe hain tasawwur ne maze kya kya
Mara dil hai madina mein madina dil ke andar hai
Malaik sar jahan apna jhukte darte rehte hain
Qadam un ke gunahgaron ka aisi sarzameen par hai
Are ausone wale dil are ausone wale dil
Sehar hai jaag ghafil dekh toh alam munawwar hai
Suhaani tarz ki tal'at niraale rang ki nikhat
Naseem-e-subh se mehka hua pur-noor manzar hai
Ta'ala Allah yeh shadabi yeh rangini ta'ala Allah
Bahar-e-bahisht-e-dasht-e-taiba par nichawar hai
Hawaein aa rahi hain koocha-e-pur-noor jaanaan ki
Khuli jaati hain kaliyan dil ko muyassar hai
Munawwar chashm-e-za'ir hai jamal-e-arsh-e-azam se
Nazar mein sabz gumbad ki tajalli jalwa gustar hai
Yeh rif'at dargah-e-arsh-e-astaan ke qurb se payi
Ke har har saans har har gaam par mi'raj-e-deegar hai
Muharram ki naveen tareekh baara manzilein kar ke
Wahan pahunche woh ghar dekha jo ghar Allah ka ghar hai
Na poochho hum kahan pahunche aur un aankhon ne kya dekha
Jahan pahunche wahan pahunche jo dekha dil ke andar hai
Hazaron be-nawaon ke hain jhamgat aastana par
Talab dil mein sada-e-ya rasool Allah lab par hai
Likha hai khama-e-rehmat ne dar par khat-e-qudrat se
Jise yeh aastana mil gaya sab kuch muyassar hai
Rakhun mein hazri ki sharm un aamal par kyonkar
Mere imkaan se bahar meri qudrat se bahar hai
Agar shaan-e-karam ko laaj ho mere bulane ki
To meri hazri dono jahan mein meri yaawar hai
Mujhe kya ho gaya hai kyon mein aisi baatein karta hoon
Yahan bhi yaas-o-mehroomi ye kyonkar ho ye kyonkar hai
Bula kar apne kutte ko na dein chamkar kar thukra
Phir us shaan-e-karam par fehm se ye baat bahar hai
Ta-zab-zab maghfirat mein kyon rahe us dar ke zaair ko
Ke ye dargah-e-wala rehmat-e-khalis ka manzar hai
Mobarak ho Hasan sab arzoo-ein ho gayin poori
Ab unke sadqe mein aish-e-abad tujh ko muyassar hai