Shah-e-Konain jalwa numa ho gaya
Rang-e-aalam ka bilkul naya ho gaya
Muntakhab aap ki zaat-e-wala hui
Naam-e-paak aap ka Mustafa ho gaya
Mil gaya tujh se Allah ka raasta
Haq se milne ka tu wasta ho gaya
Aap woh noor-e-haq hain ke Quran mein
Wasf-e-rukh aap ka Wad-Duha ho gaya
Aisa aazaaz kis ko Khuda ne diya
Jaisa bala tera martaba ho gaya
Lamakan mein bulaya Khuda ne tujhe
Arsh-o-kursi se bhi tu wara ho gaya