Shor-e-mah-e-nau sun kar tujh mein dawan aaya
Saqi main tere sadqe may-e-ramzaan aaya
Is gul ke siwa har phool bagosh-e-giraan aaya
Dekhe hi gi ay bulbul jab waqt-e-fughaan aaya
Jab baam-e-tajalli par woh nayyar-e-jaan aaya
Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapaan aaya
Jannat ko haram samjha aate to yahan aaya
Ab tak ke harak ka munh kehta hoon kahan aaya
Taiba ke siwa sab baagh paamaal-e-fana honge
Dekho ge chaman walo! jab ahd-e-khizaan aaya
Sar aur woh sang-e-dar aankh aur woh bazm-e-noor
Zalim ko watan ka dhyan aaya to kahan aaya
Kuch naat ke tabqe ka aalam hi nirala hai
Sakta mein padi hai aqal chakkar mein gumaan aaya
Jalti thi zameen kaisi thi dhoop kadi kaisi
Lo woh qad-e-be-saya ab saya-kunan aaya
Taiba se hum aate hain kahiye to jina walon
Kya dekh ke jeeta hai joon aa ke yahan aaya
Le tauq-e-alam se ab aazad ho ae qamri
Chithi liye bakhshish ki woh sarv-e-rawan aaya
Naama se Raza ke ab mit jao bure kaamo
Dekho mere palla par woh achhe miyan aaya
Badkar Raza khush ho badkaam bhale honge
Woh achhe miyan pyara achhon ka miyan aaya