Silsila aah! gunahon ka barha jata hai nit naya jurm har ik aan hua jata hai
Qalb patthar se bhi sakhti mein barha jata hai naul par khol siyahi ka charha jata hai
Nafs-o-shaitan ki har aan ita'at par dil aah! mail meray Allah! hua jata hai
Laoon woh ashk kahan se jo siyahi dhonay gandagi mein mera dil had se barha jata hai
Aarzi aafat-e-dunya se to darta hai dil haaye be-khauf-e-azabon se hua jata hai
Yeh tera jism jo beemar hai tashweesh na kar yeh marz tere gunahon ko mita jata hai
Asl barbad kun amraz-e-gunahon ke hain bhai kyon is ko faramosh kiya jata hai
Asl aafat to hai narazi-e-Rabb-e-Akbar is ko kyon bhool ke barbad hua jata hai
Almadad Ya Shah-e-Abrar Madinay walay qalb se khauf-e-Khuda door hua jata hai
Aah! daulat ki hifazat mein to sab hain koshan hifz-e-eimaan ka tasawwur hi mita jata hai
Yad rakho! ahi be-aqal hai ahmaq hai jo kasrat-e-maal ki chahat mein mara jata hai
Apni ulfat ka mujhay jaam pila do saqi qalb-e-dunya ki mohabbat mein phansa jata hai
Imtihan ke kahan qabil hoon mein pyaray Allah! be-sabab bakhash de Maula tera kya jata hai
Aah! Jaati nahi hai aadat-e-yaawah goi, waqt, anmol yun barbaad hua jaata hai
Aah! Aansoo gham-e-duniya mein bahe jaate hain, dil bhi duniya ke ghamon hi mein jala jaata hai
Apna gham aisa ata kar ke kaleja phat jaaye, dekh ke sab kahein deewana chala jaata hai
Walwala sunnat-e-Mehboob ka de de Maalik, aah! Fashion pe musalmaan mara jaata hai
Tere deewane Madeene ke liye hain betaab, jaane kab izn, Madeene ka diya jaata hai
Aakhri waqt hai aa ja mere Madani aa ja, aah! Mujrim tera duniya se shaha jaata hai
Jalwa-e-paak dikha ja mere Madani aa ja, aah! Mujrim tera duniya se shaha jaata hai
Mujh ko ab kalma padha ja mere Madani aa ja, aah! Mujrim tera duniya se shaha jaata hai
Mujh ko qadmon se laga ja mere Madani aa ja, aah! Mujrim tera duniya se shaha jaata hai
Mere isyaan ko mita ja mere Madani aa ja, aah! Mujrim tera duniya se shaha jaata hai
Mere Aaqa sar-e-mahshar mera parda rakhna, raaz aibon ka mere faash hua jaata hai
Aao ab bahr-e-shafa'at mere Shaafi' aao, aah badkaar azaabon mein ghira jaata hai
Muskura kar meri Sarkar mujhe keh do na, tujhe daaman-e-rehmat mein liya jaata hai
Kaash! Attar se farmayein qayamat mein Huzoor
Le mubarak ke tujhe bakhsh diya jaata hai