Sultan-e-Jahan Mehboob-e-Khuda teri shaan-o-shaukat kya kehna
Har shay pe likha hai naam tere zikr-e-rifat kya kehna
Hai sar pe taaj-e-nabuwat ka jora hai tan pe karamat ka
Sehra hai jabeen pe shafaat ka ummat pe rehmat kya kehna
Inna a'tainakal kauthar farmaye tere haq mein daawar
Wahdat ka kya tujh ko mazhar aur di hai kasrat kya kehna
Meraj hui ta arsh gaye haq tum se mila tum haq se miley
Sab raaz-e-fawahi dil pe khule yeh izzat-o-hashmat kya kehna
Hoornon ne kaha SubhanAllah ghulman ne pukara SallAllah
Aur qudsi bole IllAllah be arsh pe dawat kya kehna
Quran kalam-e-bari hai aur teri zabaan se jaari hai
Kya teri fasahat pyari hai aur teri balaghat kya kehna