Tajdar-e-Ambiya, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Razdar-e-Kibriya, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Aaye Khair-ul-Wara, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Aaye Shah-e-Ambiya, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Mazhar-e-Rabb-ul-Ula, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Mustafa Mujtaba, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Peshwa-e-Ambiya, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Mursaleen ke Muqtada, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Sayyid-e-Arz-o-Sama, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Sarwar-e-Har-Do-Sara, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Khalq ke haajat rawa, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Daafi-e-Ranj-o-Bala, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Sayyid-o-Sardar-e-Ma, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Be-kason ke aasra, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Maalik-o-Mukhtar-e-Ma, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Hami-e-Har-Be-Nawa, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Mashriq-o-Maghrib mein ek ek baam-e-Ka'aba par bhi ek
Nasb parcham ho gaya, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Chand sa chamakte chehra barsate hue
Aagaye Badr-ud-Duja, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Aamina ke ghar mein Aaqa ki wiladat ho gayi
Marhaba Sall-e-Ala, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Jhuk gaya Ka'ba sabhi but munh ke bal oundhay giray
Dabdaba amad ka tha, Ahlan wa sahlan marhaba
Chaudah kangooray giray aatishkada thanda hua
Tip-ta shaitan gaya, Ahlan wa sahlan marhaba
Soi qismat jaag uthi aur sab ki bigri ban gayi
Baab-e-rehmat wa hua, Ahlan wa sahlan marhaba
Aatay hi sajda kiya aur Rabb-e-Habli Ummati
Ki, zabaan par thi dua, Ahlan wa sahlan marhaba
Khoob jhoomo aasiyo! Woh muskuratay aa gaye
Shafi-e-roz-e-jaza, Ahlan wa sahlan marhaba
A'la Hazrat Rahmatullah Ta'ala Alaih likhtay hain: Dunya mein tashreef laatay hi Aap Sallallahu Ta'ala Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bargah-e-Ilahi mein sajda kiya. Us waqt honton par yeh dua jaari thi: Rabbi Habli Ummati yani Parwardigar! Meri ummat mujhe hibah kar de. (Fatawa Razviyya J 30 S 217)