Tu sham-e-risalat hai alam tera parwana
Tu mah-e-nabuwat hai ae jalwa-e-janana
Jo saqi-e-kausar ke chehre se naqab uthay
Har dil banay mai-khana har aankh ho paimana
Dil apna chamak uthay imaan ki tal'at se
Kar aankhein bhi noorani ae jalwa-e-janana
Sarshar mujhe karde ek jaam-e-labab se
Ta hashr rahe saqi aabad yeh mai-khana
Tum aaye chuti bazi raunaq hui phir tazi
Ka'ba hua phir ka'ba kar dala but-khana
Mast-e-mai-e-ulfat hai madhosh-e-mohabbat hai
Farzana hai deewana deewana hai farzana
Main shah-e-nasheen toote dil ko na kahoon kaise
Hai toota hua dil hi Maula tera kaashana
Kyun zulf-e-mu'ambar se kooche na mehak uthein
Hai panja-e-qudrat jab zulfon ka teri shana
Us dar ki hazoori hi isyan ki dawa thehri
Hai zehar-e-ma'asi ka Taiba hi shafakhana
Har phool mein boo teri har shama mein zoo teri
Bulbul hai tera bulbul parwana hai parwana
Peete hain tere dar ka khate hain tere dar ka
Pani hai tera pani dana hai tera dana
Har aarzoo bar aaye sab hasratein poori hon
Woh kaan zara dhar kar sun lein mera afsana
Sang-e-dar-e-jana par karta hoon jabeen saai
Sajda na samajh Najdi sar deta hoon nazrana
Gir par ke yahan pohancha mar mar ke use paya
Chhoote na Ilahi ab sang-e-dar-e-janana
Sang-e-dar-e-jana hai thokar na lage usko
Le hosh pakad ab tu ae laghzish-e-mastana
Woh kehte na kehte kuch woh karte na karte kuch
Ae kaash woh sun lete mujh se mera afsana
Ae muflis-o-nadaro jannat ke kharidaro
Kuch laye ho bai'ana kya dete ho bai'ana
Kuch nek amal bhi hain ya yun hi amal hi hai
Duniya ki bhi har shay ka tum lete ho bai'ana
Kuch us se nahi matlab hai dost ke dushman hai
Unko to karam karna apna ho ke begana
Hubb-e-sanam-e-duniya se paak kar apna dil
Allah ke ghar ko bhi zalim kiya but-khana
The paon mein bekhud ke chhale to chala sar se
Hoshiyar hai deewana hoshiyar hai deewana
Aankhon mein meri tu aa aur dil mein mere bas ja
Dil shad mujhe farma ae jalwa-e-janana
Abad use farma veeran hai dil-e-Noori
Jalwe tere bas jayen abad ho veerana
Sarkar ke jalwon se roshan hai dil-e-Noori
Ta hashr rahe roshan Noori ka ye kaashana