Tumhara naam museebat mein jab liya hoga
Hamara bigra hua kaam ban gaya hoga
Gunahgar pe jab lutf aap ka hoga
Kya baghair kya be kya kya hoga
Khuda ka lutf hua hoga dast-geer zaroor
Jo girte girte tera naam le liya hoga
Dikhayi jaye gi mehshar mein shan-e-mehboobi
Ke aap hi ki khushi aap ka kaha hoga
Khuda-e-pak ki chahein ge agle pichle khushi
Khuda-e-pak khushi un ki chahta hoga
Kisi ke paon ki beri yeh kaat te honge
Koi aseer-e-gham un ko pukarta hoga
Kisi taraf se sada aaye gi huzoor aao
Nahin to dam mein ghareebon ka faisla hoga
Kisi ke palla pe yeh honge waqt-e-wazn-e-amal
Koi umeed se moonh un ka tak raha hoga
Koi kahe ga duhai hai Ya Rasool Allah
To koi thaam ke daaman machal gaya hoga
Kisi ko le ke chalenge farishtay su-e-jaheem
Woh un ka rasta phir phir ke dekhta hoga
Shikasta pa hoon mere haal ki khabar kar do
Koi kisi se yeh ro ro ke keh raha hoga
Khuda ke waaste jald un se arz-e-haal karo
Kise khabar hai ke dam bhar mein haye kya hoga
Pakad ke haath koi haal-e-dil sunaye ga
To ro ke qadmon se koi lipat gaya hoga
Zabaan sookhi dikha kar koi lab-e-Kausar
Janab-e-Paak ke qadmon pe gir gaya hoga
Nishaan-e-Khusro-e-Deen dor ke ghulamon ko
Liwa-e-Hamd ka parcham bata raha hoga
Koi qareeb-e-tarazu koi lab-e-Kausar
Koi Siraat pe un ko pukarta hoga
Yeh be-qaraar kare gi sada ghareebon ki
Muqaddas aankhon se taar-e-ashk ka bandha hoga
Woh paak dil ke nahin jis ko apna andesha
Hujoom-e-fikr-o-taraddud mein ghir gaya hoga
Hazaar jaan fida narm narm paon se
Pukaar sun ke aseeron ki daudta hoga
Azeez-e-bacha ko maa jis tarah talash kare
Khuda gawah yahi haal aap ka hoga
Khudai bhar inhein hathon ko dekhti hogi
Zamane bhar inhein qadmon pe laut-ta hoga
Bani hai dam pe duhai hai taaj wale ki
Yeh ghul yeh shor yeh hangama ja-ba-ja hoga
Maqam faslon par kaam mukhtalif itne
Woh din zuhoor-e-kamal-e-Huzoor ka hoga
Kahein ge aur Nabi izhabu ila ghairi
Mere Huzoor ke lab par ana laha hoga
Dua-e-ummat-e-badkaar wird-e-lab hogi
Khuda ke samne sajda mein sar jhuka hoga
Ghulame un ki inayat se chain mein honge
Adu Huzoor ka aafat mein mubtala hoga
Main un ke dar ka bhikari hoon fazl-e-Maula se
Hasan faqeer ka jannat mein bistara hoga