Utha do parda dikha do chehra ke noor-e-bari hijab mein hai
Zamana tareek ho raha hai ke mehr kab se naqab mein hai
Nahi woh meethi nigah wala Khuda ki rehmat hai jalwa farma
Ghazab se un ke Khuda bachaye jalal-e-bari atab mein hai
Jali jali boo se us ki paida hai soz-e-ishq-e-chashm wala
Kabab-e-ahoo mein bhi na paya maza jo dil ke kabab mein hai
Unhi ki boo maya-e-saman hai unhin ka jalwa chaman chaman hai
Unhin se gulshan mehak rahe hain unhin ki rangat gulab mein hai
Teri jalo mein hai mah-e-tayyaba hilal-e-har marg-o-zindagi ka
Hayat-e-jaan ka rikab mein hai mamat-e-aada ka daab mein hai
Siyah libasan-e-dar-e-dunya o sabz poshan-e-arsh-e-aala
Har ik hai un ke karam ka pyasa faiz un ki janab mein hai
Woh gul hain haaye nazuk unke hazaron jhadte hain phool jinse
Gulab gulshan mein dekhe bulbul yeh dekh gulshan gulab mein hai
Jali hai soz-e-jigar se jaan tak hai talib-e-jalwa-e-mubarak
Dikhado woh lab ke aab-e-haiwan ka lutf jinke khitab mein hai
Khaday hain Munkir Nakeer sar par na koi hami na koi yawar
Bata do aa kar mere payambar ke sakht mushkil jawab mein hai
Khuda-e-Qahhar hai ghazab par ghule hain badkariyon ke daftar
Bacha lo aa kar Shafee-e-Mahshar tumhara banda azab mein hai
Kareem aisa mila ke jiske khule hain haath aur bhare khazane
Batao ae mufliso! ke phir kyun tumhara dil iztirab mein hai
Gunah ki tareekiyan yeh chhayein umand ke kali ghataein aaein
Khuda ke khursheed-e-mehar farma ke zarra bas iztirab mein hai
Kareem apne karam ka sadqa Laeem-e-be-qadar ko na sharma
Tu aur Raza se hisab lena Raza bhi koi hisab mein hai