Tu hai woh Ghous ke har Ghous hai shaida tera
Tu hai woh Ghais ke har Ghais hai pyasa tera
Suraj aglon ke chamakte the chamak kar doobey
Ufaq-e-noor pe hai mehr hamesha tera
Murgh-e-shab bolte hain bol ke chup rehte hain
Haan aseel ek nawa sanj rahe ga tera
Jo wali qabl thay ya baad huye ya honge
Sab adab rakhte hain dil mein mere Aqa tera
Baqasam kehte hain shahan-e-Sarifeen o Hareem
Ke hua hai na wali ho koi hamta tera
Tujh se aur dahr ke aqtab se nisbat kaisi
Qutb khud kaun hai khadim tera cheela tera
Saare aqtab-e-jahan karte hain Kaaba ka tawaf
Kaaba karta hai tawaf-e-dar-e-wala tera
Aur parwane hain jo hote hain Kaaba pe nisaar
Shama ek tu hai ke parwana hai Kaaba tera
Shajar-e-sarv sahi kis ke ugaye tere
Marifat phool sahi kis ka khilaya tera
Tu hai noshah-e-barati hai yeh sara gulzar
Lai hai fasl-e-saman gondh ke sehra tera
Daliyan jhoomti hain raqs-e-khushi josh pe hai
Bulbulen jholti hain gati hain sehra tera
Geet kaliyon ki chatak ghazlen hazaron ki chahak
Bagh ke sazon mein bajta hai tarana tera
Saf-e-har shajra mein hoti hai salami teri
Shakhin jhuk jhuk ke bajalati hain mujra tera
Kis gulistan ko nahin fasl-e-bahari se niaz
Kaun se silsila mein faiz na aya tera
Nahin kis chand ki manzil mein tera jalwa-e-noor
Nahin kis aina ke ghar mein ujala tera
Raj kis shehar mein karte nahin tere khuddam
Baj kis nahar se leta nahin darya tera
Mazra-e-Chisht-o-Bukhara-o-Iraq-o-Ajmer
Kaun si kisht pe barsa nahin jhala tera
Aur mehboob se hain, han par sabhi yaksan to nahin
Yun to mehboob hai har chahne wala tera
Is ko so fard sarapa ba-faraghat orhen
Tang ho kar jo utarne ko ho neema tera
Gardnen jhuk gayin sar bichh gaye dil loot gaye
Kashf-e-saq aj kahan yeh to qadam tha tera
Taj-e-farq-e-urfa kis ke qadam ko kahiye
Sar jise baj dein woh paon hai kis ka tera
Sukr ke josh mein jo hain woh tujhe kya janen
Khizr ke hosh se poche koi rutba tera
Admi apne hi ahwal pe karta hai qiyas
Nashe walon ne bhala sukr nikala tera
Woh to chota hi kaha chahen ke hain zer-e-hazeez
Aur har auj se uncha hai sitara tera
Dil-e-ada ko Raza tez namak ki dhun hai
Ik zara aur chhirakta rahe khama tera