Woh banday-e-khas Khuda ke hain aur un ki sari khudai hai
Un hi ki pahunch hai Khaliq tak un tak khilqat ki rasai hai
Woh Rab ke hain Rab un ka hai jo un ka hai woh Rab ka hai
Be-un ke jo haq se mila hai deewana hai sudai hai
Woh sakht ghadi Allah Ghani kehte hain Nabi Nafsi Nafsi
Us waqt ik rehmat walay ko mujrim ummat yaad aayi hai
Achhon ka zamana saathi hai main bad hoon mujh ko nibaho tum
Kehla ke tumhara jaaun kahan be-bas ki kahan shunwayi hai
Aajaao badan mein jaan ho kar aur dil mein raho imaan ban kar
Hai jism tera yeh jaan teri aur dil toh khaas kamayi hai
Aankhon mein hain lekin misl-e-nazaryun dil mein hain jaise jism mein jaan
Hain mujh mein walikan mujh se nahan us shaan ki jalwa numayi hai
Allah ki marzi sab chahein Allah raza un ki chahe
Hai jumbish-e-lab qanoon-e-khuda aur khabar ki gawahi hai
Maalik hain khazana-e-qudrat ke jo jis ko chahein de dalein
Di ye khuld janab-e-Rabi'ah ko bigri lakhon ki banayi hai
Dunya ko mubarak ho dunya woh mujh ko milein
Har sar mein jin ka sauda hai har dil jin ka shaidayi hai
Go sajda-e-sar hai un ko mana lekin dil-o-jaan hain sajda kunan
Hai hukm-e-shariat sar pe rawan dil jaan ne maafi payi hai
Woh kaaba-e-sar hai yeh qibla-e-dil woh qibla-e-tan hai yeh kaaba-e-jaan
Sar us pe jhuka dil un pe fida aur jaan un ki shaidayi hai
Lakri ne kiya un se shikwa oonthon ne kiya un ko sajda
Hain qibla-e-aalam ke Salik kyon baat barhayi hai