Woh kamal-e-husn-e-huzoor hai ke guman-e-naqs-e-jahan nahin
Yahi phool khar se door hai yehi shama hai ke dhuan nahin
Do jahan ki behtariyan nahin ke amani-e-dil-o-jaan nahin
Kaho kya hai woh jo yahan nahin magar ik 'nahin' ke woh han nahin
Main nisar tere kalam par mili yun to kis ko zaban nahin
Woh sukhan hai jis mein sukhan na ho woh bayan hai jis ka bayan nahin
Ba-Khuda Khuda ka yehi hai dar nahin aur koi maffar maffar
Jo wahan se ho yahin aaye ho jo yahan nahin to wahan nahin
Kare Mustafa ki ihanatein khule bandon us pe yeh jurratein
Ke main kya nahin hoon Muhammadi! arey han nahin arey han nahin
Tere aage yun hain dabe lache fusaha-e-Arab ke bare bare
Koi jaane munh mein zaban nahin, nahin balkay jism mein jaan nahin
Woh sharaf ke qata hain nisbatein woh karam ke sab se qareeb hain
Koi keh do yas-o-umeed se woh kahin nahin woh kahan nahin
Yeh nahin ke khuld na ho niko woh nekoyi ki bhi hai aabroo
Magar aye Madina ki arzoo jisay chahey to woh saman nahin
Hai unhein ke noor se sab ayan hai unhein ke jalwa mein sab nihan
Banay subah tab-e-meher se rahay pesh-e-meher yeh jaan nahin
Wahi noor-e-haq wahi zill-e-Rabb hai unhein se sab hai unhein ka sab
Nahin un ki mulk mein asman ke zameen nahin ke zaman nahin
Wahi la-makan ke makeen huay sar-e-arsh-e-takht-e-nasheen huay
Woh Nabi hai jis ke hain yeh makan woh Khuda hai jis ka makan nahin
Sar-e-Arsh par hai teri guzar, dil-e-farsh par hai teri nazar
Malakoot-o-mulk mein koi shay nahin, woh jo tujh pe ayan nahin
Karoon tere naam pe jaan fida, na bas ek jaan do jahan fida
Do jahan se bhi nahin jee bhara, karoon kya karoon jahan nahin
Tera qad toh nadir-e-dahr hai, koi misl ho toh misal de
Nahin gul ke paudon mein daliyan, ke chaman mein sarv-e-chaman nahin
Nahin jis ke rang ka doosra, na toh ho koi na kabhi hua
Kaho us ko gul kahe kya bani, ke gulon ka dher kahan nahin
Karoon madh-e-ahl-e-duwal Raza, pare is bala mein meri bala
Main gada hoon apne kareem ka, mera deen parah-e-naan nahin