Ya Mustafa ata ho ab izn-e-hazri ka, karlun nazara aa kar main Aap ki gali ka
Ek baar to dikha do Ramadan mein Madina, beshak banalo Aaqa mehman do ghari ka
Rota hua main aaoon dagh-e-jigar dikhaoon, afsana bhi sunaoon main apni be-kasi ka
Main sabz gumbad ki dekh loon baharein, ab izn-e-deed Aaqa! tum mujh ko hazri ka
Maula gham-e-Madina deeday gham-e-Madina, deewana to bana day mujh ko teray Nabi ka
Khoon-e-jigar say seencha hai bagh-e-sunniyat ka, kar do karam waseela us murshidi ka
Ya Sayyid-e-Madina! bas Aap hi nibhana, geh hoon bara kameena par hoon to Aap hi ka
Ya Mustafa! gunahon ki aadatein nikalo, jazba ata ho sunnat ki pairwi ka
Hon door ab balayein deta hoon wasta main, mazloom-e-Karbala ki Sarkar! be-kasi ka
Allah! hub-e-dunya se tu mujhe bachana
Sail hoon ya Khuda main ishq-e-Muhammadi ka
Fakhr-o-ghuroor se tu Maula mujhe bachana
Yarab! mujhe bana de paikar tu aajizi ka
Imaan pe Rab-e-Rehmat de de tu istiqamat
Deta hoon wasta main tujh ko tere Nabi ka
Ho har nafas Madina dhadkan mein ho Madina
Jab tak na saans toote sarkar-e-zindagi ka
Dunya ke tajdaro! tum se mujhe gharz kya!
Mangta hoon main to mangta Sarkar ki gali ka
Allah! is se pehle imaan pe maut de de
Nuqsan mere sabab se ho sunnat-e-Nabi ka
Ulfat ki bheek de do deta hoon wasta main
Siddiq ka Umar ka Usman ka Ali ka
Kuch nekiyan kamale jald aakhirat banale
Koi nahin bharosa aye bhai! zindagi ka
Mizan pe sab khade hain aamaal tul rahe hain
Rakh lo bharam Khudaya! Attar Qadri ka